koun kehta hai ke maut aayi to,, | | koun kehta hai ke maut aayi to mar jaon ga main to darya houn,, sumander mein utar jaon ga tera der chor kay main aor kidhar jaon gaa ghar main ghir jaon ga..sehra mein bikhar jaon ga tere pehloo se jo uthoon gaa,, to mushkil ye hai sirf ik shaks ko paaon ga,, jidhar jaon ga abb tere shehr mein aaon ga,, musaffir ki tarah saaya-e abr ki manend guzar jaaon gaa tera paimaan-e wafah,, rah ki deewar bana warna socha tha ke,, jab chaahon ga mar jaon gaa charah saazon se alag hai mera meyaar,, ke main zakhm khaon ga to kuch aor sanwar jaon ga abb to khurshid ko doobe huwe sadiyan guzreen abb usse dhondne main taaba sehr jaaon gaa zindagi shamma ki manend jalata hoon nadeem bujh to jaaon gaa.. magar subah to kar jaon ga |