main nazdiqion ki qail,woh doorion se dara hoa
raston ki dhool main koi muntazir ho kharra hoa
lagta hai dekh ker us ki zulfoon ki be-tarteebian
koi sitara shab-e-gham ka toot ker ho bikhra hoa
koi rah-numa na mil saka, kai raastay hai saamnay
mera ham-safar mere saath na chala hoa na ruka hoa
haath thaam kar chaloon, choo kar dekhon use kabhi
kisi khawahish ki daldal main dil hai mera ghira hoa
mere naseeb ka tara ban kay mere aasmaan pay chamkay kabhi
kisi taaq pay jaise koi khat parra ho murra hoa
koi to do boal piyar ke mujh se boal de
aadhi raat main jugnoo jungle main ho jaise mara hoa
hijar ki shidat apni jaga, wasal ka dukh apni jaga
baarish main koi geela kaghaz na jala hoa na bujha hoa
chaya ban kar rahoon apnay hamnawa ke saath saath main
lambay safar ki tamazat se gar hai wo zara thaka hoa
koi ja kay "saira" say yeh kah de, wo jazba-e-ishq hai
na sahma hoa na dara hoa na hi mosmoon sa badla hoa