badalate vaqt kaa ik sil_silaa saa lugta hai
ke jab bhi dekho use duusaraa-saa lugta hai
tumhaaraa husn kisi aadmi kaa husn naheen
kisi buzurg kii sachchi duaa saa lugta hai
teri nigaah ko tameez rang-o-nuur kahaan
mujhe to Khuun bhii rang-e-hinaa saa lugta hai
damaaG-o-dil ho.n agar mutma_ii.n to chhaao.n hai dhuup
thape.Daa luu kaa bhi Thandi hava sa lugta hai
vo chhat pe aa gayaa betaab ho ke aaKhir
Khudaa bhii aaj shareek-e-duaa sa lugtaa hai
tumhaaraa haath jo aayaa hai haath me.n mere
ab aitabaar ka mausam haraa-saa lugta hai
nikal ke dekho kabhi nafarato.n ke pinjare se
tamaam shahar kaa "Manzar" khulaa sa lugta hai