Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera | | Kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera hota rehta hai yunhi qarz barabar mera toot jate hain kabhi mere kinare mujh main doob jata hai kabhi mujh main samandar mera kisi sehra main bichhad jaenge sab yaar mere kisi jungle main bhatak jaega lashker mera baawafa tha to mujhe poochhne wale bhi na the-y bewafaa hun to hua naam bhi ghar ghar mera kitne hanste hue mausam abhi aate lekin aik hi dhoop ne kumhla diya manzar mera aakhri jur-e per kaif ho shayad baqi ab jo chhalka to chhalak jaega saaghar mera |