Acha hai | | husne mah, garcha ba hangam-e-kamaal, acha hai
us se mera mah-e-khursheed jamal acha hai
bosa dete nahin, aur dil pe hai har lehza nigah
ji main kehte hain ke , muft aaye to maal acha hai
aur bazar se le aaye , agar toot gaya
saghar jam se mera jaam-e-sifaal acha hai
be talab dain, to maza us main siwa milta hai
wo gada, jis ko na ho khooy-e-sawal , acha hai
un ke dekhe se jo aa jaati hai mun par roonaq
wo samajhtay hain ke beemaar ka haal acha hai
dekhiye paate hain usshhaq butoon se kia faiz
ik barehman ne kaha hai ke ye saal acha hai
hum sukhan teshe ne farhad ko shereen se kia
jis tarha ka ho kisi main kamaal , acha hai
qatra darya main jo mil jaye, to darya ho jaye
kaam acha hai wo, jis ka ke maal acha hai
khizar-e-sultaan ko rakhay khaliq-e-akbar sar sabz
shah ke baagh main ye taaza nihaal acha hai
hum ko maloon hai janat ki haqeeqat laikin
dil ke khush rakhnay ko, ghalib, ye khayal acha hai
__________________ Pocha tha ik sahib-e-dil nae mera mizaj
Bay-sakhta labon pe tera naam aa gaya
Hum nae tumhare baad na rakhi kisi say aas
Ik tajurba buhut tha, bara kaam aa gaya |