View Single Post
  #1  
Old 09-07-2003, 04:05 AM
dill_darkan's Avatar
dill_darkan
Guest
 
Posts: n/a

Tutorials:

Default Iss zamaanay say na ham koi gilaa rakhain gay

Iss zamaanay say na ham koi gilaa rakhain gay
Dil lagayein gay to na shart-e-wafa rakhain gay

Na dikhayein gay kabhi dil pay lagay zakhm unhaein
Dard uthay ga magar dil ko daba rakhain gay

Jaan day dain gay agar aik ishaara ker dain
Ham usay apnay liye bhi na bacha rakhain gay

Sab hata dain gay teri rah ki rukawat hamdam
Ghar kay darwazay ko her waqt khula rakhain gay

Unki her baat ko bhoolay say na bhoolain gay kabhi
Unki yaadon ko bhi seenay say laga rakhain gay

Toot bhi jaayegi umeed jo teray aanay ki
Ik diya phir bhi hawaaon main jala rakhain gay

Khak ho jayein gay yeh duniya waalay
Jalnay walon ko bhi ham aour jala rakhain gay
Reply With Quote