View Single Post
  #15  
Old 12-08-2005, 11:29 PM
Annayah ali's Avatar
Annayah ali Annayah ali is offline
Member
 
Join Date: Jan 2005
Location: uk
Age: 23
Posts: 85

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 143
Annayah ali is on a distinguished road
Default Re: jo guzar gaya so guzar gaya

[quote=BERHI_BEE]Hama-waQt ranj-o-malaal kia, jo guzar gaya su guzar gaya
Ussay yaad ker ke na dil dhuka, jo guzar gaya su guzar gaya

Na gila kiya na khafa hoay, yunhii raastay se juDaa hoay
Na tu be-wafa na mae be-wafa, jo guzar gaya su guzar gaya

Wo ghazal ki aik kitaab tha, wo gulo`n mein aik gulaab tha
Zara dair ka koi khwaab tha, jo guzar gaya su guzar gaya

Mujhe pat-jharo`N ki kahaniya`N na suna suna ker udaas ker
Tu khaza`n ka phool hai muskura, jo guzar gaya su guzar gaya

Wo udaas dhoop samait ker kaheen wadiyon mein uter chuka
Ussay ab na de mere dil sada, jo guzar gaya su guzar gaya

Ye safr bhee kitna taweel hai, yahan waQt kitna Qaleel hai
Kahan lout ker koi aay ga, jo guzar gaya su guzar gaya

Wo wafayein theen ke jafayein theen, na soch kis ki khatayein theen
Wo tera hai usay galay laga, jo guzar gaya su guzar gaya

koi farQ-e-shah-o-gada` nahi, yahan kissi ki baQaa nahi
Y e ujaaR mehlo`n ki sun sada, jo guzar gaya su guzar gaya

Tujhe aetbaar-o-yaQeen nahi, nahi duniya itnii burii nahi
Na malaal ker mere saath aa, jo guzar gaya su guzar gya;
very nice ghazal i really like it;keep it up
__________________
Woh mila to sadiyoN baad bhi,mere labb pe koi gila na tha
Use meri chup ne rula diya,jiski guftagu maiN kamaal tha

Reply With Quote