Quote:
|
Originally Posted by _____ I heard this ghazal some time ago. or yai meri favorite bangayee. Abida Parween ga rhai thee is ko. @};-
kuch is adaa say aj wo pahloo-nasheen rahe
jab tak hamare paas raahe ,hum nahin rahe
ya rab kisi kay raaz-ay mohabbat kee khair ho
dast-ay junoon rahe na rahe, aasteen rahe
dard-ay gham-ay firaaq kay yai sakht marhalay
hairan hoon main kay phir bhi tum itnay haseen rahe
ja or koi zabt kee dunya talash kar
aye ishq hum to ab tere qabil nahin rahe
allah ray chasm-ay yaar kee mojiz bayaniyan
har ik ko hai gumaan kay mukhatib humi rahe
is ishq kee talafi-ay mafaat dekhna
ronay kee hasratain hain jab anso nahin rahe |
@};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};-
cudnt choose a lil part of it
koz Its all in all perfect n ZABARDAST!
thnx for sharin..... Its really Awesome!
/yhug /yhug /yhug /yhug /yhug
@};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};- @};-