tera dheerey chalna ghazab dha raha hai | | tera dheerey chalna ghazab dha raha hai
main kya karon tujhpar dil aa raha hai
qadam tu uthati hai to girti hai bijli
main sochta hoon yeh kaun aa raha hai
teri yeh surat hai ,khuda ka karishma
hur qudrat khuda ki yeh dikhla raha hai
aawara phirta hoon galiyon mein teri
deed ko teri mera jee chah raha hai
mujh pey karam kar saamney tu aaja
aag ko siney ki bharhka raha hai
mudassir |