laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahlay | | laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahlay
diloN ke deep jaltay hain charagh-e sham se pahlay
kabhi manzar badalnay par bhi qisa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjam se pahlay
yahi taray tumhari ankh ki chilmaN maiN rehtay thay
yahi suraj nikalta tha tumharay bam se pahlay
diloN ki jagmagati bastiyaN taraj kartay hain
yahi jo log lagtay hain nahiyat aam se pahlay
hoye hai sham jungle main piranday loa'tay hooN gaye
ab in ko kis tarah rokaiN nawah-e dam se pahlay
ya saray rang murda thay tumhari shakal bannay tak
ya saray harf mohmal thay tumharay naam se pahlay
howa ha wo agar munsaf tu Amjad ihtiyataN ham
saza tasleem kartay hain kisi ilzam se pahlay |