aah ko chaahiye ik umr asar hone tak | | aah ko chaahiye ik umr asar hone tak kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak daam her mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang dekhe.n kyaa guzareti hai qatare pe gauhar hone tak aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak |