
01-09-2005, 03:50 PM
|
 | umm-e Awwab o Mushda | | | Join Date: Aug 2003 Location: kuch khabar nahi Age: 30
Posts: 4,969
Country: Tutorials:
0 My Mood: Thanks: 1
Thanked 19 Times in 15 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 1055 | |
dost ghum khwari main meri sa'ai farmain gai kya? | | dost ghum khwari main meri sa'ai farmain gai kya?
zakhm k bharne talak nakhun na barh jain gai kya?
be-niyaazi hud sey guzri, banda parwar kab talak
hum kahain gai haal_e dill, aur aap farmain gai"KYA"?
hazrart_e naseh gar Aa wai.n, deeda-o dill farsh_e rah
koi mujh ko ye tu samjha do k samjhain gai kya?
Aaj waa.n tegh-o kafan bandhey howe jata hoon main
uz'r merey qatal karne main wo abb lain gai kya?
gar kya naseh nay hum qaid, acha yoon sahi
ye junoon_e ishq k undaaz chutt jain gai kya?
khana_e zaad_e zulf hain, zanjeer sey bhagain gai kyu?
hain giraftaar_e wafa, zindaa.n sey ghabrain gai kya?
hay ab is mamora main qeht_e ghum_e ulfat sahi
hum nay ye mana k Dilli main rahain, khain gai kya?
__________________ guzar hi jay gi terey baghair bhi laikin
bohat udaas bohat sogwaar guzre gi |