Mujhe deke mai mere saaqiyaa merii tashnagii ko hawaa na de
Mujhe deke mai mere saaqiyaa merii tashnagii ko hawaa na de
Mairii pyaas par bhii to kar nazar mujhe maikashii kii sazaa na de
Mairaa saath ai mere ham_safar nahiin chaahataa hai to jaam de
Magar is tarah Sar-e-Rah-Guzar mujhe har qadam pe sadaa na de
Mairaa Gam na kar mere chaaraagar terii chaaraajoii bajaa magar
Meraa dard hai merii zindagii mujhe Dard-e-Dil kii dawaa na de
Main WahaaN huuN ab mere naasehaa ki jahaaN Khushii kii guzar nahiin
Mairaa Gham hadon se guzar gayaa mujhe ab Khushii kii duaa na de
Wo giraayen shauq se bijaliyaaN ye sitam karam hain sitam nahiin
Ke wo 'Tarz' Barq-e-Jafaa nahiin jo chamak ke Noor-e-Wafaa na de