Beniyaaz-e-Sahar ho gaii
Beniyaaz-e-sahar ho gaii
Sham-e-Gam moatabar ho gaii
Ik nazar kyaa idhar ho gaii
Ajanabi har nazar ho gaii
Zindagii kyaa hai aur maut kyaa
Shab huii aur sahar ho gaii
Unkii aankhoN maiN ashk aa gaye
DaastaaN muhhtasar ho gaii
Chaar tinake hii rakh paaye the
Bijaliyon ko Khabar ho gaii
ChhiD gaii kis kii daaman kii baat
Khud-ba-Khud aankh tar ho gaii
Un kii mahafil se uthakar chale
Raushanii ham-safar ho gaii
'Tarz' jab se chhuutaa kaaravaaN
Ziist Gard-e-Safar ho gaii