Moti ho k sheesha, jaam k dur | | Moti ho k sheesha, jaam k dur
Jo toot gaya, so toot gaya
Kab aashkoon se jur sakta hai
Jo toot gaya so choot gaya
Tum naHaq tukray chun chun kar
Daman main chupae bhaite ho
Sheeshoon ka maseeha koi nahi
kya aas lagaye bhaite ho!
Phir dunia waloon ne tumse
Yeh sagar le kar phor dia
Jo maay thi baha di mati main
Mehmaan ka shepar tor dia
Is maal ki dhun main phirte the
Tajir bhi buhat, rehzan bhi kaye
Hai chorNagar yaan muflis ki
Gar jaan bachi to aan gaye
Yeh saagar, sheeshe, lal - o -gehar
Saalim hoon to qeemat paate hain
Yoon tukre tukre hoon to fakat
Chubte hain, laho lohaate hain
Yaadon k girebano k rafu
Par dil ki guzar kab hoti hai
Ik bakhiya udhera, ik siya
yoon umer basar kab hoti hai
Is kar-e-geh hasti main jahan
Yeh sagar, sheeshe dahlte hain
Har shay ka badl mil sakta hai
Sab daman pur ho sakte hain
Jo hath bahre, yawar hai yahan
Jo aankh uthe, woo bakhtawar
Yaan dhan dolat ka annt nahi
hon gaht main daako lakh magar
Kab loot jahpat se hasti ki
Dokaane kahli hoti hain
Yaan parbat parbat heere hain
yaan sagar sagar moti hain
Kuch log hain jo is dolat par
parde latkaye phirte hain
har parbat ko, har sagar ko
Nilaam charhate phirte hain
Kuch woo bhi hain jo lar bhir kar
Yeh parde noch girate hain
hasti k Uthaie gayhroon ki
Har chal uljahe jaate hain!!
__________________ Na tha kuch tu khuda tha,
Na kuch hota tu Khuda hota,
Daboya Mujh ko hone ne,
Na hota main tu Kya hota! |