faisla tumko bhool jaane ka | | faisla tumko bhool jaane ka,
ek naya khwab hai deewaane ka
dil kali ka leraz leraz gaya,
zikra tha phir bahar aane ka
hausla kam kisi mein hota hai,
jeet kar khud hi haar jaane ka
aap shehzad ki na fikra karein,
woh toh "aadi" hai zakhm khaane ka
__________________ |