Abhi Sab Ker Guzarna Hai
Apni zaat ki qaid say
rehaa ho ker
tumhari hasti main rehtay thay
bari masti main rehtey thay
ajab basti main rehtay thay
tumhari ankhon say taktay thay
tumharey honto'n say hunstey thay
tumharey lafzo'n ki khushbu say
mere tan mann mehkatey thay
tumharey labo'n say nikla her lafz JanaaN
harf-e-akhir jana tha
tumharey khayal ko JannaN
aorna bichhona banaya tha
tumhaye apna
faqat apna hi mana tha
magar halaat nay dekho
ajab hi khail khaila hai
tumharey lehjaye ki yeh talkhi
tumhari ankho'n ki ye barhamii
tumhara uktaya howa andaaz
tumhari hum say bay zaari
humayen dukh hi nahi deyti
humayen musroor rakhti hai
tumhari in bay hud roshan si ankho'n main
hum apna aks na paa' ker bhi
mutmain sey rehtey hain
humayen adaat si hai abb to
tumhari kuj adaayii ki
tumhari bay wafaayi ki
so tum say iltejha hai yeh
jafayen tum rawa rakhna
abhi to ibteda hai yeh
abhi andaza kerna hai
apnay zabt ka JaanaN
abhi khud ko parakhna hai
abhi sab ker guzarna hai !!
~*Farah Munawar Shah*~