Agar aap
HG Media section mein koi video add karna chahtay hein tu iss ka tareeqa bohat asaan hai.
Misaal kay toor pay aap nay jo video add karni hai woh youtube.com pay hai. Aap ko karna yeah hoo ga.
1. sab say pehlay 2 windows kholiyeah aik mein Youtube ki site open kijyeah aur 2nd window mein
HallaGulla Media section mein jaiyeah aur "Add Video" kay link pay click kijiyeah.
2. Add Video pay click karnay kay baad aap kay samnay yeah screen aa jaye gi.
3. Misaal kay toor pay hum nay aik Video Pakistan pay add karni hai tu sab say pehlay jo video add karni hai uss ki correct Category set kijiyeah misaal kay toor pay hum Other Pakistani ki category set kar laytay hein. Uss kay baad Video ka title likhiyeah, aur uss kay baad aap video ki description likhiyeah. Aap jo Video ki description YouTube.com pay available hai woh bhi copy past kar saktay hein, iss kay liyeah aap
YouTube - Broadcast Yourself. wali window pay jaiyeah aur uss video pay jaiyeah jo aap
HallaGulla media section mein add karna chahtay hein uss ki description copy kar lijieay aur
HG media wali window mein past kar dijiyeah. jaisay neechay di gai picture mein dikhaya gaya hai.
4. Aab iss video kay liyeah theek theek keywords likhiyeah , 6-7 keywords kaafi hein, koshish kijiyeah video ki munasibat say keywords likhain.
5. aab aap ko video ka ka link dena hai uss kay liyeah aap youtube walli window mein jaiyeah aur video pay mouse ka right button click karain aur Copy Link Location pay click kijiyeah aur phir
HG media wali window mein aa kay video link kay box mein iss ko past kar dijiyeah.
6. Aab aap ko video ka image ka link add karna hai uss kay liyeah Youtube ki window pay jaiyeah video pay mouse ka right button click kijiyeah aur menu option say "Copy Image Location" pay click kijiyeah aur uss kay baad
HG ki window mein aa kay Video Image location kay box mein Image ka url past kar dijiyeah
7. aap ki video posting kay liyeah tayar hai aab aap Submit kay button pay click kijiyeah aap ki video
HG media section mein aur forum mein add hoo gai hai aur aab issay tamaam members daikh saktay hein..
Aap upar diyeah gai process ko use kartay hoay bohat see video hosting sites say videos ko
HG kay media section mein add kar saktay hein. Jin jin sites say aap videos ko
HG media mein add kar saktay hein un kay link neechay diyeah gai hein.