Dhoop aur chhaon ke nazare thay
Dil ki daulat jahan pe harey thay
Bewafaai ka ab gilaa kaisaa
Aap pehle bhi kab hamare thay
Meri aankhon mai phelte huye rang
Kal talak aapko bhi pyare thay
Hai gharonda mera to mitti ka
Teri raahon mai chaand tarey thay
Chhoo liya tha gulon ko chahat se
Jal gaye haath wo sharare thay