::: - ::: - ::: - ::: - ::: - :::
jab talak wo ru'bru baiTha raha,
aalam-e-hairat maiN aa'eina raha.
aakhri waqfa tha jo saNsoN k beech,
zindgi bhar ik wohi waqfa raha
ik sadaa wo jo kabhi na uth saki,
ik wo daaman jo sada simta raha
dekh pa'y na usy ji bhai k ham
umr bhar ik baat ka khadsha raha
sab gilay shikway huay dil k tamaam
maiN usy aur wo mujhy tak'ta raha
kat gai faizan sari raat yuN,
kircheiaN lamhoN ki maiN chunta raha.
::: - ::: - ::: - ::: - ::: - :::