Aadab dosto...
kesy ehwal haiN... umeed hy ba-khair hoN gy...
aaaj phir ap se (kafi arse bad) aik ghazal share kr raha huN.... umeed hy aap apni qeemti ra'y se nawazeN gy...
in roman
b'juz ghubar na koi hawa ka samny hy
phir aik sang-e-nadamat ana k samny hy
mera hi deeda-e-hairat zada samajh is ko
wo aaina jo teri her ada k samny hy
safar tamam hua kheriat se aakhir-e-kar
dar-e-qabuliat ab intija k samny hy
wo lajawab hua hy, ya maslihat se hy chup
ya behr-e-khamshi us ki sada k samny hy
isy naseeb samajh le ya intihaN Faizan
jo tery aur tery na khuda k samny hy
ap ki aa'ra ka muntazir,
Faizan Ahmad.