It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ...Zaat Paat... within the Discussion Corner forums, part of the Mehfil category; Assalaam o alaikum...kaise hain aap sab???khairiyat ki umeed rakhti hoon aur khairiyat hi ki dua kerti hoon...Main ne pehle bhi ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
__________________ True friendship isn't seen with the eyes.Its felt with the heart when there is trust,understanding, loyality,secrets and sharing. ...TRUE FRIEND... |
|
#2
| |||||
| |||||
| aoa Baat to such haa magar baat ha ruswai kee Baat to app na achi kee and Dua to Allah sa hamari bhee yia he haa ka Muslims main unity atta farmay, amen. So jahan DUA ke zaroorat ha to wahan AMAL bhee karna chayia and sub sa pahla apni zaat sa start karna chayia. App, main and degar dosraa members baqi qoom ko choor ka sirf apna app ko theek kar lain to hamari zaat sa qareeb rehnaa wala khud ba khud achi baat pick kar lain gaa and silsala chal para gaa ( Tabhligi jamatoon ke khamoosh tahreeq jo iss waqt pakistan main chal rehi ha ko mada nazar rakha jayia). So jis tarhan qatra qatra daryia bantaa haa same issi tarhan hum in burayion ka khalaf khara ho saktaa hain Abb app ke dosi baat ka zaat baradri ka hawalaa saa to iss ka jawab kia doon . Zaat baradri ka chakar sirf hum loogoon main hee nehi yia chakar to even Whites main bhee haa. Yia alag baat ha ka secular contries hoona kee waja iss ka rujhan in main kafi haad tak kaam and hamara haan kafi ziada haa. Lakin app White people sa milain jo family values rakhtaa hain to bhee kafi proud hoota hain and asa hee hir kisi ko apni family main anna nehi daata. So yia to aik universal truth ke tarhan haa ka hir koi apni baradri pa fakhar kartaa haa Now app ka sawal ka islam ka mana karna ka bawajood hum loog iss main buri tarhan uljha hua kion hain to iss kee kai wajoohaat hain. pahli to yia ka hamara haan loogoon ko islam ke sehi teachings ka ilm nehi. Wo ARBI parh to laataa hain lakin uss ka meanings sa nabald rehtaa hain. So speed to achi hooti haa lakin samajh kuch nehi atti. Abb loogoon main rujhan barh reha haa ka quran ko samjh ka parha jayia to hopefully iss silsala main behtari ayia g Second yia ka agar app partitioin sa pahlaa ka daur dakhain and khusoosan wo daur jub Muslim Auylia majood thaa to hum sub na parha ha ka un ka haatoon paa lakhoon loogon na islam qabool kia. Hum iss main khush rehtaa hain ka mashallah sa wo buzark bohat kuch kar ghay orr yia baat nazar andaz kar daata hain ka uss daur ka loogon ka rehan sehan kasa thaa. Kia islam laana ka baad unho na apna tarz e zindagi change kia to asa bilqul nehi huaa. uss daur main loog asa rehtaa thaa jasa ajj bhee loog Sindh, Punjab and Baluchistan main rehtaa hian. Rajaaa, Maharajaa, Badshaa loogoon paa hukomaat kartaa tha and jub wo Islam qabool kartaa thaa to un ka under jitnaa loog thaa wo bhee BAIT kar lia kartaa thaa. Naam change ho jaataa thaa lakin rehan sehan ka andaz nehi badaltaa thaa. Traditions wasa hee chalti rehti theen. Sub continant ka musalman yia to Sikhoon sa Muslim hua hain yia Hindu sa Muslim. Abb Muslim to ho ghay lakin traditions nehi chooreen. So abb problem hamara samna khari haa Yia zaat paat ka rujhan iss waqt bhee Hindus and Sikhs main kafi ziada haa. App ko agar india jaana ka moqa milaa to app khud dakh sakti hian ka app ko pakistan main wo sub kuch hoota mila gaa jo india main hoota haa. Hope satisfy kar saka hoon gaa Wasalam BABA
__________________ Success is 1% inspiration and 99% perspiration ![]() Its not important what you know, its about who you know |
|
#3
| |||||
| |||||
| Quote:
haan ji ye to aap ne bilkul theek kaha k sab se pehle apni zaat se shuroo kerna chahiye to main ne sab se pehle apni zaat se hi shuroo kiya hai...main in sab zaaton ko nahin maanti...main kehti hoon k hum sab sirf aur sirf musalmaan hain aur agar is k baad kuch aata hai to woh ye hai k hum pakistani hain...is k ilawa kuch nahin...naa main dogar hoon aur naa main rajpoot aur naa hi main kisi aur zaat se belong kerti hoon...aur naa hi zaat ko main apne aap se jorna chahti hoon...whites mein to hota hi un mein to aur bhi bohat si buraaiyan hoti hain to kya jo cheezein whites mein hain woh hum mein hona zaroori hain???hum musalmaan hain aur hamara mazhab khandaano aur baradariun ko nahin maanta to hum musalmaan KHUDA ki batayi hui taleemaat per amal kiun nahin kerte???nahin woh hindu the un ki to taleemaat hi aisi theen per hum musalmaano ki taleemaat to ye nahin hain...Kiun nahin hai hamare haan logon ko ISlam ki taleem???beghair islam ki taleem k kya hum musalmaan kehlaane k qaabil hain???phir to humein koi haq hi nahin banta k hum musalmaan kehlaein jab humein pata hi nahin hai k hamara Islam,hamara Quran,hamara ALLAH humein kis baat ki taleem deta hai...no i m not satisfied...waise thanks parhne k liye... |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
Yia to achi baat ha ka iss ka silsala app na apni zaat sa shuroo kia and Allah app ko iss main istaqamat ata farmay, Amen. Second yia ka yia zaat paat ka chakar whites main kafi kam haa jo ka achi baat haa. Humain whites ke buri baatoon ke bajay in sa achi baatain seekhni chayian. Achi and buri batain hir insan main hooti hain, baat yia ha ka jin main achi qualities hoon app un ka iatraaf karian and un sa seekhain Third yia ka yia to Allah jantaa ha ka hum musalman hian bhee ka nehi. Shayeed Allah ka nazdaak hamara sara amal Baamal hoon and humain pata bhee na ho. Islam ke taleemaat paa amal na karna ke aik waja to ILM kee kami haa. Islam ilm hasil karna pa zoor daata haa jis ke ratio Pakistan main filwaqt kafi kum haa. Jub knowledge nehi haa to islam paa amal koon kara gaa. Abhi to BIADAT ka bhee loogoon ko ilm nehi. Sehi teachings ka kitnoon ko ilm ho gaa Aik waqa yaad ayia. Hazrat Adam(AS) na jub Haaj ada kia to Allah ka Hukam sa Hazrat Jabrial(AS) un ko Maidan e Nuaman main laa ghay and un ke back pa apna paar mala to sub jhaga Hazrat Adam ke Aulad sa bhar ghee. Phir Allah na Sajdaa ka Hukam dia to Hazrat Adam(AS) ka sath un ka right main kara loog ( jin main paghamar bhee shamil thaa) na sajdaa kia. and un ka left main khara hua loogoon na na kia. Phir dosri dafa sajdaa ka hukam hua to dono sides pa kuch loogon na sajdaa kia and kuch na na kia . Hazrat adam na Allah tallah sa poocha ka first sajdaa main right side main sub na sajdaa kia and left side main kisi na na kia. and Second sajdaa main dono taraf sa kuch loogon na kia and kuch na nehi kia, is main kia hakmat ha to Irshad e bari hui " ka jinho na first and Second dono main sajdaa kia wo Momin Pada hoon gaa and Momin marain gaa, Jinho na dono sajdoon main sajda nehi kia wo kafir paada hoon gaa and kafir marain gaa. And jino na first main sajdaa kia lakin second main nehi kia wo Momin pada hoon gaa but Kafir marain gaa and jinho na first main sajdaa nehi kia lakin second main Sajda kia wo Kafir pada hoon gaa but Momin marian gaa (Qasas ul Anbia) Abb app hee decide kar lain ka Hum Musalman kahlana ka laiq bhee hian ka nehi Allah hedayiat daa sub ko Wasalam BABA |
|
#5
| |||||
| |||||
|
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
![]()
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
|
|
#8
| |||||
|