It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on [SOLVED] Tablighy Jammat........ within the Discussion Corner forums, part of the Mehfil category; Assalamoalikum Kia haal hain meray azizoon aur saathiyon? Ajj kal cricket k point of view say Dawat o Tabligh ki ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Assalamoalikum Kia haal hain meray azizoon aur saathiyon? Ajj kal cricket k point of view say Dawat o Tabligh ki mehnaat kay taazkaray iss forum pay bhi ho rahay hain, kabhe kaheen Molana Tariq Jamil Sahab ka naam ata hay tu Kabhee Bhai Junaid Jamshaid ka, Kabhee Bhai Saeed Anwer ka tu Kabhee CM Sindh Arbab Ghulam Raheem ka............ Bhaiyon dooston app ahbab k zayhaan may kia hay Tablighy Jammat(Raiwind) ki activity say related, aur ap kia samjhtay hain kay abb tak kitna asaar andaaz rahi hay ya Dawaat ki baa baarkat mehnat insano ki tabdeeli may aur maashray pay................. . Chunkay mera talook thoora bohaat hay in Allah waloon k saat tu hosakta hay kisi ka koi aitraaz ho ya ghalat fehmi ho tu woh mujah say Allah duur ferma dayn............insh allah may apnay experiences aur views zaroor share karoon ga laikin filhaal app sab ahbab ki raey jaan nay ka intizar hay..... wasalam Ather. |
|
#2
| |||||
| |||||
| walaikum assalam tableeghii jamat apne objective ko hasil kerne k lehaz se bohat qameyab rahii he. Is se wabasta logon ki tadaad aehrat angez tareqe se bharii he. Mein kuch arsa tak is jamaat k saath wabasta raha. Jamaat ka literature bhi pera. Jin wajuhaat ki bina per mein ne jamaat se tahaluq tora wo ye hein 1- jamaat k tariq e kaar mein quran fehmii ko buneyadi aehseyat hasil nahein. Quran khud aik dawat ki kitaab he, is ko samag ker perna, is ko apni soch aor fikr ka mehver banana hi asal mein emaan ko mazboot kerne ka theek tariqa he. Jo loog jamahat mein shamil hote hein un ko pehle kuch sunnatein mutaraf kervaye jaatii hein, quran ki talawat (baghyr terjume k) ka kaha jata he. Shuru mein wazahil e aamaal ko hi aslan buneyadii aehmeyat di jaatii he. Mere kheyal mein is k ber aks quran ko buneyadi aehmeyat hasil honii chaheye jarii he .........
__________________ Learner ................ |
|
#3
| |||||
| |||||
| Quote:
ittafaq hai bhai ke mera ta'aluq khasa qareebi hai lekin tableeghi jama'at se nahin, us se munsalik boht se logon se, yeh bhi hussan-e-ittafaq hai ke Juaid jamshed bhai ki Company J.J mai mere dost kam ker rahe hain.... mujhe Tableeghi jama'at ke kam se khushi hai, Alhamdolilah Pakistan mai hi nahin poori dunya mai is jama'at ki koshishon ki jitni tareef ki jaye kam hai... lekin eik concept jo meri nazar mai sahi nahi woh yeh hai ke "Tableeghi bhai Dunya se deen ki taraf bulatay hain, un ka kehna aksar yeh hota hai ke dunya mai se deen ke liye waqt nikalain..." mera sawal hai ke kya deen-e-Islam dunya ke liye nahin aaya hai, or kya humay 24 hours islam per nahi rehna jesa ke Allah ne kaha ke pooray ke pooray deen mai dakhil ho jao.... jab ke aksar dekha gaya hai ke tableegh se wapsi ke baad aksar bhai dunya mai wese hi mashghool ho jatay hain, un mai change aamal ka nahi sirf appearance ka nazar aata hai... woh bhi ussi ghalat nizaam ka hissa ho jatay hain.... Amar Bil maroof wa nahi anil munkir ka eik juz Jihad fi sabeel Allah hai, aksar us ki mukhalifat bhi ki jaati hai, ke Mujahid pehle Perfect Muslim hon phir Jihad ki taraf aayen.... mai boht ziyada likh gaya, sawalat boht hain lekin overall mai Tableeghi jama'at chahay woh kisi maslik ki ho, un ka zabardast haami hon, haan islahi tanqeed ( maqsad sirf Islah ) woh mai zarori samjhta hoon..... wasalam
__________________ ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
Aray wah bhai wah Inam bhai app nay tu hayraan kerdiya ya bata ker k app jammat may waqt lag chukay hain......Mashallah Allah Qabool fermaey ameeen. Yani ap bhi humaray buzoorg niklay....baki rahi baat ap k choornay ki waja ki tu jab app apni baat poori kerlayn gay tu zaroor bil zaroor koshish karoon ga app ki raey baadalnay ki inshallah. Baki tu Allah kay haat may hay. |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
Inam bhai mai aap se ittafaq karoon ga, lekin baharhal is baat ka inkaar nahi kya ja sakta, ke Tableegi jama'at jis qadar kaam Quran ki khidmat mai ker rahe hain, utna Dr. Israr Ahmed ki Khaddam-ul-Quran bhi nahi ker pa rahi ho gi.... mai ba-zaat-e-khud Madarson mai ja chuka hoon or jo nazam or jo aytamad mai ne wahan ke taliba mai dekha Alhamdolilah wesa aytamad kisi Ala taleemi ders gah ke taliba mai bhi nahi mil sakta.... is ki wazeh misaal Mufti Muhammad shafi ka "darul-uloom Karachi" or un ke ferzand taqi usmani, rafi usmani, or wali razi sahibaan hain....ye sahi hai ke aam Musalmaan Quran ko foran us tariqay se nahi samjh patay, lekin Quran ki Talem ke liye Tableeghi jama'at ko Quran ke Alim tayar kerne chahiye, balkay boht Aalim tayar bhi ho chukay hain, lekin un ko Tableegh mai us terhaan use nahi kya ja pa raha, jis terhaan kerna chahiye..... (wallah ul Alam) |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
Rahi baat Duniya say deen ki taraf aoo tu bhai meray ya tu Allah nay khood kaey jaga Quran may targheeb de hay kay Duniya ki hasiyat koch nahi hay, aur Ahadees may bhi Duniya k maamlay may kia kia irshaadat hain ap yakeenan mujah say ziyada he jantay hain, rahi baat kay ya kehna kay duniya may say deen k liay waqt nikalayn tu iss may aisa kia ghalat haym ajj jo sir duniya ki maashghooliyat ki waja say Faraiz pooray kernay say kaasir hay, iss ki waja yakeenan uss ka zaef eemaan hay abb jab eemaan he zaef hay tu woh kaisay pooray k pooray deen may enter hoga, yahi waja thi kay Sahaba(ra) kay eemaan aur yakeen pay pehlay mehnaat hoey hay phir ahkaamat ki barish start hogaey...pehlay 12-13 saal tak tu namaz ka hookam bhi nahi aya thaa ya tu a bhi jantay hain, kion? iss ki waja thaa un ka kamzoor eemaan jis pay App(saw) jaisay Sardaar mehnaat ker rahay thaay tu bhi 12-13 saal lagay hain uss k bawajood bi kaheen na kaheen Allah ko tanbhee ferma ne paree hay....iss liay bhai jab eemaan iss daarjay ka hojaey ga eemaan ki mehnaat ker ker kay tu khood ba khood duniya ka her maamla deen k taabay hojaey ga inshallah aur woh aik Sahabi(ra) ki baat kay hum tu 24 ghantay he ibaadat kertay hain poocha gaya kay kaisay tu fermaya her kaam Allah ka hookam aur Rasool (saW) k tareekay pay hota hay tu woh ibaadat an jata hay........ Bhai Jehaad tu alaa daarjay ki baat hay, abhi tu umat namaz k liay tayaar nahi hay app ko pata hay Duniya may sirf 9% muslims namazi hain......jo insaan Allah k agay sir jhookanay ko tayyar nahi woh katwaey ga kaisay. Aur iss mehnat ki zariya say aisay loog bhi paida hoaey hain jinhoo nay Allah k rastay may ani jaan bhi qurbaan kerdi hain jin ki qabrain apnay mulk say bahar bani hain............Jeha ad say koi inkaar nahi naozobillah bas hum bhi Allah pay maarnay aur meetnay k liay sab ko taayar ker rahay hain ....... Aur rahi baat appearance ki tu kia ya koi maamoli baat hay, ap jantay ho may daari nahi rakhta thaa sakht boori lagti thi naozobillah laikin ajj alhamdulilah sharaey daari hay aur sharaey libaas k kareeb taar payhanta hoon....aur iss daari ki waja say multinationals ki jon thookra dee hain aur suuno woh ya kay kaey banks ay calls aeyn woh sab refuse kerdeyn, ya sirf iss jammat ki baarkat say he hoaa..........aur may iss ko maamoli baat nahi samajhta............ ........aur aheesta aheesta tabdeeliyan arahi hain inshallah sab thik hojaey ga, aur bhai ghaltiyan her insaan say hoti hain tabligh waloon say bhi hoti hain kion kay hain tu insaan na bhai aur shaitan ka ziada taar sheekar bhi ahi bantay hain ya tu Alah heefazat kerta hay werna bas kia say kia hjaey, abb choor waheen say choori karay ga na jahan koch hoga, khaali ghar may tu daaka daalnay jaey ga nahi. aur ya maat daikho tablighy kia ker raha hay woh kia keh raha hay kis taraf nola raha hay ya keemti hay suuna aur maan na. wasalam Ather |
|
#8
| |||||
| |||||
| Quote:
Hazrat Jee fermaya kertay thaay kay " Humaray iss kama may Ulima ka lagna zaroori hay werna kaam apni hakikat khooday ga" ap ko yakeen na aey shayad laikin her saal Ulima ki aik baari tadad mukhtalif cities aur maadaris say 1 saal k liay ALlah k rastay may waqt laga rahay hain woh bhi paidal jammat border to border chalti hain....... Alhamdulilah Pakistan ka koi koona aisa nahi jahan jamatain na poohonchi hoon...... Rahi baat Quran ki tu bhai meray 6 number may 3rd number hay he ilm ka jis may Quran aur hadees doono shamil hain, balkay Fazail Amaal aik aisi kitaab jo k duniya ki her language may translate hochuki hay aur mera claim hay ya kay duniya may Azan, Quran k saat Fazail Amaal woh kitab hay jo 24 hrs kaheen na kaheen perhe jaa rahi hay ussmay aik bohaat bara chapter Fazail Quran hay.........jis may Quran perhnay samjhnay yaad kernay k fazail he fazail hain.......haan ya kehna kay quran may khood say koi raey kaim na karo tu may samjhta hoon kay iss may koi ghalat baat nahi balkay aik sharaey baat ki jaa rahi hay.......aur Quran samjho laikin kisi Quran k maheer say.....khood say tafaseer utha kay allama na banjaoo. |
|
#9
| |||||
| |||||
| |