It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Qurbani ke khaalaen cheennay ka waqiya.... LIVE dehka .... MQM... within the Discussion Corner forums, part of the Mehfil category; Assalam-o-alaikum, kal baroz 10th Zilhaj, first day of Baqra Eid.... karachi maen waisay tu khaalaen cheennay ka mamool koi naya ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Assalam-o-alaikum, kal baroz 10th Zilhaj, first day of Baqra Eid.... karachi maen waisay tu khaalaen cheennay ka mamool koi naya nahee,,,, her saal hee aesay waqiyaat bohat hotey haen..... aur top of the list hamesha hee MQM hotee hay... iss baar mae ney LIVE dekha sab kuch.... after zohar prayer... mae A.H.Isphahani road, Noman View Apartments kay samnay tha... asusual kuch log thailay per khaalaen liyay khaRay thay unhaen baichnay kay liyay..... unn kay samnay MQM kay laRkay car and motorcycles per aaey aur baghair kisee reason kay unn kay sath gaalam galoch start kiya... maara peeta bhee... Police kee jo mobile round per thee, wo rukee... oos mae sey Police walay niklay... tu mairey saamnay..balkay wahan maujood sab logon kay samnay... Police waalon kee MUTTHI GARAM ker dee MQM kay gang leader ney... phir Police walon ney bhee unn ghareeb thailay walon ko gaaliyan dee aur mara... aur unhee sey khaalaen uthwa ker saari kee saari MQM kee gaRi mae dalwa deen.... aur MQM walay unn ghareebon ko dhamkiyan daitey hoey yay ja aur wo ja.... intehai afsos hoa dekh ker.... unn thailay walon kee baichargee kee shakal bar bar samnay aa rahee hay... aur yay koi 1 waqiya nahee hay... aesay la tadaad waqiyaat her saal hotey haen... wassalaam, farooqi. |
|
#2
| |||||
| |||||
| bohat shamram aur dukh ki baat hai , aur no doubt aisa sirf karachi mein he nahi balkay pooray pakistan mein , her jagha, her field, her level pe ho raha hai, aur yehi wajha hai k hamaray pakistan k 70% CREAM ( cream se muraad hamari investments, jo k nojawan nassal hai, zaheen aur kamyab nojawan) woh pakistan se day by day export ho rahay hein, Yeh sirf aur sirf hamaray system ki kharabi hai , jo her pakistani ko yeh sab kernay pe majboor ker rahi hai, mein kai aisay lowko ko janta houn jinhoan ne, malaysia ur dubai mein jaa k barri barri investments ki hein , maggar pakistan mein paisa lagatay huay dertay hein, Kaash k hamara pakistan kabhi theek ho jaiay, kaash k yahan bhi Western countries ki tarha, Kanoon aur rules sab k liay barabar hoan, KAash k hamaray lowk show off kerna chowr k sadgi aur diyanatdari se appni appni duty poori kerein.......! Allah kerray k yeh sab ho, aur yeh howna mushkil nahi hum sab bakiyo ko chowr ker sirf appnay app ko ,khud ko durust ker lien , fir daikhein sara mohashra khud he theek ho jaiay ga, Allah hum sabko HIdayat aur kamyabi de Ameen sum Ameen Pakistan Zindabad !
__________________ ISS LIAY KOI ZIADAA NAHI RUKKTA HAI YAHAN....... LOWG KEHTAY HEIN MERAY DIL PE TERA SAYA HAI ! |
|
#3
| |||||
| |||||
| .................... ... ![]()
__________________ ![]() |