It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Pakistan Taraqi Q nae Kerta ? within the Discussion Corner forums, part of the Mehfil category; Pakistan Taraqi Q nae Kerta ?...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Pakistan Taraqi Q nae Kerta ? ![]() ![]()
__________________ ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
| ---mere khial se--- pakistani taraki is lie nahi karta kion k awam jahil hai jo in muhtlif parties main laghe hue hain
__________________ ![]() thnx the quit *-*strange world*-* pari group |
|
#3
| |||||
| |||||
| hmmmmm thanks.............. .................... ...... |
|
#4
| |||||
| |||||
| Aap ki raaiy apni jaga theek hai.. or main is khiyal say bilkul ittifaaq karti hon k teefay chamaar say lay kar chohdri abdul lateef khan tak hamara poora muashra corrupt huchuka hai, teefa jo jotiyan gaanth raha hai wo bhi corrupt hay, molana lateef sahb jo mazhabi rahnuma hain wo bhi corrupt hai, dr , engeener, hamara qanon sab corrupt hain, mera matlab ye hai k majmoe toar pr aik say lay kar 16 karoorwan pakistani mujh samait kisi na kisi hawalay say corrupt hain, aik fard muashray ki ikaae hota hai usi ikaae say muashra janam layta hai, or hamari to ikaae hi kharab hai to phir ham kiya musharaf, qazi, baynazeer or kiya nawaz shareef ko rooain, ye sab log hamaray muashray hi ki paidawar hain...hamari ikaae kharab hai, hamain ikaae ko drust karna hoga... to hi ham taraqqi kar saktay hain, warna ham doctors or engeeners to paida kartay rahain gay .laikin aik to wo hamray nakara taleemi nizaam ki waja say ziyada usefull nahi hoga or doosray wo hamaray corrupt muashray ki paidawaar honay ki waja say corrupt hogay jis ki waja say ham taraqqi nahi krsaktay ab sawal ye paida hota hai k hamara her fard ya hamari ikaae corrupt q hai,, yehi ahm sawal hai jisay solve kar k ham tarqqi kar saktay hain, main is sawal k jawab main yahi kahti hon kay is ki sab say bari waja islaam say doori hai, ham bazaahir to muslman hain laikin islaam ki haqeeqi rooh say ham nabalad hain. ham nay islaam ko aik naqaab k toar pr orh rakha hai, main kisi or ko nahi kahti laikin khud say to kah hi sakti hon k kiya main khud sachi pakki musalman hon? kiya main khud aik usefull pakistani hon, to emandaari say mera jawab nafi main hoga. main yehi kahna chahti hon k agr ham main say her aik pakistani apna muhasba krsakta hai or islaam ki haqeeqi roh, jo mohabbat, aman, salamti, sachaai, ifat damni, or amaanat or diyaanat k kahmeer say uthi hai usay apna orhna bichona bana lain to ham or hamara pakistan taraqqi krsakta hai, wrna likhnay walay likhtay rahain gay or un ki tahreero main aaj kal ki tarha asar nahi rahay ga q k asar usi baat main hota hay jo amal karnay walay ki zuban say niklain, agar ham main say her aik apna muhasba shuro krday to aik say lay kar 16 karoorwain pakistani tak dheeray dheerya ye muashra sudharta jaaiy ga, Asalam-o-alikum Pehli``Barish
__________________ ![]() ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
but agar woh aisa nai karta apni zaat k faiday k liay hamein use kar rha hai to yeh us k haq mein to bura hai hi yeh hamara liay zehar e qatil hai .... i think we need some good and sincier leaders ki zarorat hai jo k hamein sath le k theek simat mein barh sakein ..........
__________________ ••:: Pagal Jia QaQa ::••![]() ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() Quote:
Pakistan ke leaders Pakistan ki pedawaar hi hain. Jesi qaum wese hi leaders. Lekin, agar ghalati se koi acha leader Pakistan ko mil bhi jaye to qaum koi-na-koi wajah dhoond kar uske khailaaf ho jayegi, misaal ke taur per, Islam. Ye ik essa dilemma hai ke jiksa hoi bhi hal nahi hai. Ya to ham Pakistan ko dunyai taraqi ki taraf le jayen ya Islam ki rah per chalayen. Islami rah per Pakistan ko chala mushkil hi nahi balke taqreeban namumkin hai. Iski wajah apko pink color ki post main milegi. Corruption. Pakistan as a whole is a failed nation. Pakistan ki paidaish 1947 main howi. 60 saal ki umr main Pakistan ne kiya kerliya hai? WWII ka ikhtetaam 1945 main howa tha. Jo mumalik doosri jang-e-azeem main puri terha se shamil the, misaal ke taur per, Japan, Germany, Fance, England, USSR aur khuch aur chote mulk, wo sab mumalik bohat buri terha se tabah ho chuke the. Paidaish ke waqt Pakistan ki economy shayad in sab mumalik ke barabar hi hogi. Aaj un main se ziadatar mumalik ne kitni taraqqi kerli hai aur Pakistan kahan hai? Oh! But we have nukes. Dekhte jaiye aap sab log, ye nukes bohat jald hi hamare hathon se nikal jayenge. Aaj hum Pervez Musharraf ko nikal dain aur uske badle main koi aur leader chun lain to bhi ye nukes hamare nahi rahainge. Baynazeer Bhutto ka Pakistan wapas ana aur ane ka tareeqa ik oppertunity ko avail kerna nahi hai. Bare bhai ke order se ayee hain aur unko ane se rokne wala bhi koi nahi hai. Aaj agar Musharraf ke bajaye koi aur kursi per betha hota to usko bhi ye khail khailna hota. Agar Pakistani samajhte hain ke wo America ka khail jante hain to wo khud aaj America ke pawns hain. Pakistan main aaj jo kuch bhi ho raha hai usper America qeh-qahe laga raha hai. Haqiqat to ye hai ke ham se ziada achi terha se America musalmaan ko janta hai. Wo janta hai ke Islami qoowat ko control kerne ka sabse asaan tareeqa ye hai ke musalmaan ko musalmaan se larado. Ham sab jante hain ke ham Pakistani musalmaan bohat ziada emotional hain aur dimaagh ka istemaal ziada-tar 2 number ka kamon main kerte jisse Pakistan ko koi fayeda nahi hota.
__________________ "I know the pieces fit 'cause I watched them fall away..." Tool |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
wa alaikum-us-salaam aap ki baat bilkul theek hay... kharabi kisi aik main nai hay sab main hay... hum sab batain tu khoOb kartay hain magarapna muhasaba nahi kartay hum yeh tu kehtay hain k woO aisa hay wOo aisa hay, yeh nahi daikhtay k hjum khjud kaise hain...... aur phir apni kamzOori kOo chupanay k liaay hum doOsrOon pr ungli uthaty hain.... hum yeh kehtay hain Govt corrupt hay, police corrupt hay, dr,Engineer corrupt hain...... magaryeh nahi daikhtay k wOo corrupt kis wajah se hain.... politicians ki baat kartay hain .... hum kehtay hain jitnay politicians thay sab nay mulk koO lOout liya ... magar ab jab dobara wOo wapis aatay hain tu hum phir un ka aisay istaqbal kartay hain jaisay wOo humaray azeem mohsin hain... aur khud un kOo kehtay hain aaao humay lOot lOo... police kOo corrupt kehtay hain ... magar woO corrupt es liaay hain coz hum nay un kOo aisa karnay pr uksaya hay... hum khud rules tOortay hain aur phir chahtay hain k saza se buch jaain aur khud hee un kOo es terf bulatay hain ... aur phir un koO bura kehtay hain ... hum ketay hain k dr Engineer corrupt hain....wOo yahan se taleem hasil kartay hain aur baher chalay jatay hain..... magar yeh nahi daikhtay koi insaan itni mehnat karta hay ... apni zindagi k 22, 23 years aur itna paisay khurch kar k jab degree laita hay... aur kaheen job k liaay jata hay tu os kOo job nahi milti aur agar milti hay tu mehnat ka muawaza nahi milta .... tu theek hay os k dil main watan ki mohabbat hay ... magar jab koi insaan bhoOka hoO ga tu Os kOo kuch aur nazar nahi aay ga.... Infact baat sirf itni si hay k hum sab yeh chahtay hee nahi k pakistan taraqi karay...tu pakistan kaise taraqi kar sakta hay.... aur Allah azzawajjal nay b farmaya hay k "har qoum pr un hee ki terha ka leader mussalt kia jata hay" so agar hum such main taraqi karna chahtay hain tu sirf khud ko sawarna hay pakistan khud hee sanwar jaay ga.... Allah hum kOo sanwarnay ki toufique atta farmaaay(Ameen).
__________________ ![]() ![]() __SHANI__![]() |