It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on namaz momen ki miraz (or hummari namaz????) within the Discussion Corner forums, part of the Mehfil category; salam hades mai hai kay namaz momen ki miraj hai per kaysay. quran pak mai Allah namaz ko salat khatay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [7] |
|
#1
| |||||
| |||||
| salam hades mai hai kay namaz momen ki miraj hai per kaysay. quran pak mai Allah namaz ko salat khatay hai. salat kay means rabta kyim karna hota hai. jabkay namaz farsi zaban ka lafz hai kis kay mena hai "geeli jaga. nam geeli or az place ko khatay hai. barhal Allah quran mai khatay hai ka salat kyim karro tum dua karro mai sunoo ga. ab dhakkay kay jab hum salat kyim kartay hai ya namaz partay hai tu kiya ap Allah tala say rabtay mai hotay hai dhakkay rabta ya hai kay ap Allah kay wajood ko feel karray jab sajday mai hon jab kyyam mai hon ya namaz ki kise bhi hala mai hon. kiya hum nay apni poori zindagi mai ik bar bhi salat aysay kyyam ki kay hum Allah tala say rabtay mai ho phir hum khatay hai kay hummari dua kabool nahi hoti hai. bahi jan kaysay ho jab hum dua mangtay hai tu kiya ap kay samnay ya ap kay zahan Allah ka tasawar hota hai kiya ap Allah ko apnay bohat kareeb feel kartay hai nahi nahi kabhi nahi. tu phir.jab Allah ho akbar namaz mai banda khata hai tu wo aysa hai jaysay us ka is dunya say taluk khatam hogaya or wo Allah say rabtay mai agaya. jasay murgi per jab choori phar de jati hai tu us ka taluk is dunya say khatam ho jata hai. namaz mai hum Allah say batain kartay hai us say apnay dil ki khatay hai us say muaffi mangtay hai. kyon kay wo hummaray samnay hotay hain..... magar hum mai itni takat nahi kay hum us ko dhak sakkay. magar hum hum ko feel tu kar saktay hai muhabbat say pyar say kay Allah nay hum ko kitnay pyar say banaya hai hum ko is jisim kay tamam aaza pooray aatay kiya hai or wo theek kam bhi kartay hai..... kiya hum jab Allah ka name suntay hai tu hum ko wo muhabbat ki hassi aati hai jo ap ko apnay pyray ka name sun kar aati hai. nahi tu phir shayd hum momen nahi bas name kay muslim hai. Allah kay rasool ki miraj wo the kay Allah khaty hai kay hum apni aasli halat mai apnay muhbob say millay or jo dil nay dhaka jhoot nahi dhakka. is ka meam kay miraj mai dil dhakta hai zaheri ankh nahi dhakti. tu kiya namaz mai hmmaray dil nay Allah kay noor ko kabhi dhakka hai agar nahi tu phir hum namz ki miraj per nahi. phir kaha hai. Allah hum sab ko momeen ki miraj dhakka hay ameen |
|
#2
| |||||
| |||||
| Al Quran " WAJUD WAQTARIB " AUR SAJDA KER AUR MAIRAY QAREEB HO JA " ji haan Allah tala namaz main aur khas tor per sajday main hamaray bohat qareeb hotay hain ............. buss bhai bata yeh hay kay hamain dunya ki muhabbat itna masroof ker daiti hay kay ham Allah say dorri ker laitay hain namaz bhi buss jaldi jaldi parhtay hain ..............allah ham sab khasho aur khazo say namaz parhnay aur uss per amal kernay ki tofeeqa ata fermayay Amin
__________________ /shukar |
|
#3
| |||||
| |||||
| Khuram Bhai Mairaj is namaz say nahi hota aur na he kisi Nabi ya Wali ko ho skta ha Dear Friend, Namaz aur mairaj ka sun kr muj say rha nahi gia me daily new threads read krta hu lakin kuch bol ni skta log kafar kehtay ha aur kufar ya shirk k fatway lagana shuru ho jaty ha lakin is bar sirf ap ki khatir reality bta rha hu khuda samjnay ki taufeeq ata kraty. Dear listen carefully, Sirf aik bat mind mein rakhna k Ye Namaz jo ham partay hain ye Mairaj say mili thi na k is say mairaj hua tha. Jan-e-Man Meray Aaqa Hazrat Muhammad Mustafa (saw) nay 40 year ki umar mubarak main Alan-e-Nabuwat farmaya meray dost her Nabi paidaishi (by birth) Nabi hota ha koi jan skta ha k 40 year tak garo main ja kr meray Aaqa (s.a.w) kon si Ebadat krtay thay us waqat na quran tha na Namaz thi na roza na haj na zaukat. lakin phir b Meray Aqa boht zyada ebadat krty thay. sory yar ye Raz main yhan disclose nahi kr skta anyhow 40 year k bad Quran ka nazul shuru hua lakin Namaz nahi the phir mujay confirm to nahi shayed 53 years ki umer mubarak main mairaj hua tha aur ye 5 waqat ki namaz woha say mili thi na k is say mairaj hua tha aur Meray Aqa (saw) nay sirf 10 sal ye namaz pari ha Ap logo nay kabi Meray Aaqa (saw) ki haqeeqat ko jannay ki koshis he nahi ki. Kabi kisi Imam Masjid ko mairaj hua wo to 5 waqat ki namaz k siwa tahajad b parta ha. Meray dost, maf krna ye Hathiyo ki gaza ha chuntiyo ki nahi is lye main zyad khul kr nahi bta skta. Yad rkhna is namaz say sirf Janat milay ge aur wo b qyamat k bad baqi ye k agar ap khe gay to mein mazeed bat kro ga. |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
Her musalman Namaz sirf swab hasil krnay aur janat me janay k lye parta ha jab k muje na janat ki talab na dozakh ka dar jab Badsha he mil jay to us ki reyasat k aik chotay say tukray ko kia krna dear, door say badsha ko dekhna aur bat ha aur khud badsha ban jana aur bat ha. agar ap ko panjabi ati ha to suniye Hazrat Sultan Baho Farmatay hain k Iman slamat her koi mangda ty ishaq Slamat koi hoo Mangan Iman ty Sharmawan Ishqo meray dil nu gairat ae hoo Jis manzal nu Ishaq ponchay Iman nu Khabr na koi hoo Mera Ishaq Slamat rakhni wa Bahoo Iman nu dewa dhroi hoo. |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
2 - deen ko phailana aur haq baat ko batana bhi her musalmaan ka farz hay 3 - dozakh say panah mangna aur dozakh say darna bhi momin ka kaam hay 4 - jannat ki talab hi tou Rab say mulaqat ka zareea hay 5 khud badsha ban jana samjah main nahin aaya .............. |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
Abbi Bhai Iman k teen (3) martabay ha teesray martabay pay mairaj hoti ha aur wo teen mratab ha Elam-ul-yaqeen Aen-ul-yaqeen aur Haq-ul-Yaqeen jasa k ap jantay ha k Khuda aik ha ye Elam ha q k ap nay khud nahi dekha ap sirf Iman lay ha Meray Aaqa Hazrat Muhammad Mustafa (saw) pay unho nay farmaya k khuda aik ha aur ham nay maan lya is ko kehtay ha Elam-ul-Yaqeen Dosra martaba ha Aen-ul-yaqeen jasa k khuda....nahi rehnay de ulaj jay gay main ap ko aik asan example deta hu. supose: ap ko pyas lagi ha aur ap meray pas atay ha aur muj say kehtay ha k main nay pani peena ha aur main ap ko kehta hu k dosri tarf cooler para ha ja kr pe lay. ab cooler ka us jaga ho aik Elam ha abi ap nay sirf meri baat py yaqeen kia ha is ko kehtay ha Elam-ul-yaqeen, jasa k Musalmano ko pata ha k khuda aik ha aur wo arash pay ha ye Elam-ul-Yaqeen ha, ab aik martab clear ho gia phir ap cooler wali jaga py jatay ha aur cooler ko apni ankho say dekh latay ha yani ap ka Elam Pukhta ho gia ye bilkul asay ha jasy namaz main skoon milta ha to hm kehtay ha k waqai khuda ha ya u keh lay jasay Namaz parnay say achay achay kwab aa jaty ha to hm satisfied ho jatay ha k ham sahee rastay py ha aur humara deen theek ha. lakin ye mat boolye k abi ap Elm ul yaqeen pay ha. ab ap ko nahi pat k us cooler main pani b ha ya nahi ho skta ha k abi ap gumra ho jay aur soch sktay ha k is main pani nahi ha. jab ap nay glass main pani dal lya to ap doosray (2) martabay py pohnch gay Yani Aen-ul-Yaqeen ab koi ap say lakh bar khey k us main pani nahi ha to ap nahi many gay teesra (3) martab: ab ap ko ye nahi pata k us pani k khwas kia ha wo tursh ha ya meetha us ki taseer kia ha jab ap nay pani pe lya to us ki tmam sifaat k sath us ka mushahda kr lya ab wo ap k wajud ka aik hisa ban gia jo wajud pehlay do they ab aik ho gay. Jan-man bilkul asay he abi ap ko pta ha k khuda aik ha lakin ap nay dekha nahi aur us ki sifaat ka mushahda nahi kia jab meray dost ap khuda ki zaat aur sifaat ka mushahda kray gay to apnay mojuda Iman ko bilkul opposite pao gay Badsha ban janay say murad Wasil ho jana ha is baat ko samjnay k lye pehlay ap ko Insan aur Khuda k Maratab jin ko martab-e-sita kehtay ha wo samjany pary gay. phir ap ko mushahda b krwana paray ga jo k filhal na mumkin ha is lye agar meri koi baat buri lagi ho aur samj mein na ae ho to mazrat krta hu aik baat kho kabi apnay ap ko perfect mat samjna q k perfect Meray Aaqa (saw) k siwa koi ha he nahi jab ap apnay ap ko imperfect samjay gay to kisi py tanqeed ni karay gay bus ye soch lena k ho skta ha is baat ka app ko pta na ho ya ho skta ha ye sahee ho bus kisi ko criticize krnay ki bjay Khuda say Madad mango q k us ki remat k bgair na Elam faida day ga aur na Amal. |
|
#8
| |||||
| |||||
| Quote:
aur Allah hi ki zaat hay jo Perfect hay koi insaan mukammal nahin ..........iss liyay khud ko perfect kehna takubbar ki nishani hay ........ jo kay bohat bara gunah hay .......... |