It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Ilm-e-ghaib within the Discussion Corner forums, part of the Mehfil category; Kiya Huzoor (pbuh) Ko Allah Ne Ilm-e-ghaib Ata Kiya ???????...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#2
| |||||
| |||||
| Allah he kai pass Qayamat ka Elam hai . wo he barish barsata hai or maa kai Pait main jo hai osai janta hai .. or koe nahe janta kai kal wo keya kuch karai ga . or na kise ko yah maloom hai kis zameen main marai ga .. yaad rakho Allah he porai Elam wala or sahe khabar wala hai @};- (Sorah Luqman Para number 21 Ayat Number 34) Tafsir Ibn-e-kasir page numbar 75 pare # 1 Sorah baqrah ke tafsir may dekheen app Aik Shakhsh nay huzoor(S.A.W) say aa kar kaha kay jo khuda cahay or jo App chaheen to Huzoor(S.A.W) nay farmaya kay to nay mujhay Allah ka Sharik bana deya .. Yoon kahoo kay jo Allah Akayla Chahay.. |
|
#3
| |||||
| |||||
| Suraah Jin Ayah 25/26/27 تم فرماؤ میں نہیں جانتا آیا نزدیک ہے وہ جس کا تمہیں وعدہ دیا جاتا ہے یا میرا رب اسے کچھ وقفہ دے گا غیب کا جاننے والا تو اپنے غیب پر کسی کو مسلط نہیں کرتا سوائے اپنے پسندیدہ رسولوں کے کہ ان کے آگے پیچھے پہرا مقرر کردیتا ہے
__________________ ![]() Last edited by HamTum; 09-03-2007 at 04:57 PM. |
|
#4
| |||||
| |||||
| Irfan Bhai Aur HamTum Jazak Allah Khair
__________________ ميں سچے رب كے رستے ميں سو بار لڑوں اور جاں دے دوں پهر لوٹ كے دنيا ميں آوں پهر جام شهادت نوش كروں |
|
#5
| |||||
| |||||
| baat saaf zahir hay aur Quran nay saaf safa keh diya hay .......... Hazoor SAW kay pass wohi ilm tha jo Allah ki taraf say diya jata tha .............. aur Allah iss poori kainaat ki tamam posheeda cheezon ka jan-nay wala hay ....... Hazoor SAW ko wahi kay zariyay kai poosheeda batain , purany nabouon kay baray main aur deeger cheezain batayee jati theen ................. waise iss baat per behas kerna kuch samajh hi nahin aata ............ Ghaib ka ilm tha ya nahin iss say hamain kiya faida hay ? hamara eman hi tab tak muakammal nahin hota jab tak ham apnay Nabi SAW say sab say ziyda muhabbat na karain aur muahbbat ka saboot un ko sunnat per amal ker kay kiya jata hay .......... Allah ghaib janta hay poori kainaat ki tamam posheeda cheezain aur wo jissay chahta hay bata daita hay aur jo chahta hay chupa laita hay ..................
__________________ /shukar |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
issi liye main ne sirf Quran ki ayaat hi share ki thi beshak Nabhi(SAW) ko ghaib ka ilm tha laikin Allah ka ata karda jitna Allah ne unko Ata kiya Baki Aalim-ul-ghaib to Allah ki zaat hi hai.....
__________________ ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| Aslam-e-Alikum! Asy kai ahadees or Quran k iayaat hain jin say yeah sabit hay kay Gaib ka ilm sirf or sirf Allah ko hay. Kai logo ka kehna hay kay PBUH ko bhi Gaib ka ilm diya gaya (kisi had tak) jab kay hum yeah baat kertay hovay bhool jatay hain kay ager PBUH ko gaib ka ilm diya bhi gaya to onho nay wo sab say phelay apni umaat ko bataya yani wo ilm-e-gaib (jis ko kuch loog kehtay hain ilm-e-gaib) ilm-e-gaib raha nahi wo ajj humaray paas hay Quran ki sorat main ya phir hadees ki surat main ager hum Quran or hadees ka mutalah karain to PBUH nay yeahi kaha kay mughay gaib ka ilm nahi. gaib to Sirf Allah janta hay aik baat zehan may ati hay wo yeah kay PBUH ko ager gaib ka ilm tha ya nahi tha is ko prove kernay say kia hasil hoga?
__________________ Please use Image around 60KB only as your signature. Thank you Admin |
|
#9
| |||||
| |||||
| Mashllah bohat hi umda ayat share ki jiss main saaf saaf bataya giya hay kay Nabi SAW ghaib ka ilm jo unhe ata kiya giya hay batanay main koi kami nahin kertay ........... sab jantay hain kay Allah poori kainaat ki her posheeda cheez say waqif hay aur uss nay Nabioun ko kai baton say agaah kiya aur jo jo bataya giya ussi had tak ilm un kay pass raha ............. agar aap iss ayyat ko apnay matlab nikal ker iss bata ka proof chah rahay hain kay hazoor SAW ko her baat her guzray hoyi baat her aanay wali baat jo kay Allah nay poosheeda bhi rakhi ho tou ..............aap nay Quran ki nafi ker di .............. 1 - Quran nay hazra aisha ki gawahi di .................... .... kuon sirf Allah ko sach baat maloom thi ........... 2 - Quran nay aay Nabi SAW jo tum say qimayat kay baray main poochtay hain keh do kay uss ka ilm tou sirf Allah kay paas hay .......... 3 - hazoor SAW apnay chacha Abu Talib ko akhree waqt tak eman qabool kernay ki koshish kertay rahay 4 - Quran nay Nabi SAW ko baqi nabioun kay baray main bataya ............... i think this is enough .
__________________ /shukar |
|
#10
| |||||
| |||||
| Quote:
JANAB HANDSOM SAHAB ASSALMUALAIKUM UMMEED KERTA HOON KE AAP KHAIRIYAT SE HONGE AWWAL TO YEH KE SAWAL TO SAWAL HOTA HAI, PHIR YEH DISCUSSION CORNER HAI JAB HUM IDHAR UDHAR KI FAZOOL BATON PER DISCUSSION KERTE HAIN TO, HUM IS WAQT NA NAFA SOCHTE HAIN OR NA HI NUQSAAN YEH TO KNOWLEGE MEN IZAFA KERNE KE LIYE CORNER HAI IS ME TO KUCH BHI DISCUSS HO SAKTA HAI, OR SPECIALY EK MUSALMAAN HONE KE NAATAY HUM DEEN KE SAMAJH BOOJH BHI HONI CHAHIYE .......... IS KI ZAROORAT IS LIYE PESH AAI KE KUCH NAAM NIHAD MUSALMAAN JO KHUD KO MUSALMAAN KEHTE HAIN, MAGAR MAGAR AQAAID MUNAFIQON WALE RAKHTE HAIN JESE " HUZOOR KO APNE ANJAAM KI KHABR NAHI" OR "HUZOOR KO DEEWAR KE PEECHE KA ILM NAHIN" "HUZOOR KA ILM PAGLON, JANWARON, JESA KAHA GAYA" (NAAUZUBILLAH MIN ZAALIK) JO TUMHEN JANNAT OR DOZAKH KE BAARE ME BATATA RAHA, JO TUMHEN ALLAH KE BAARE MEN BATATA RAHA US KO DEEWAR KE PEECHE KA ILM NAHIN ?????? HUZOOR KA ILM GHAIB MAANNE WAALE PER SHIRK KE FATWA LAGA LAGA KER THAKTE NAHIN ........ ILM-E-GHAIB JAB QURAN-SABIT KIYA GAYA TO PHIR SHIRK KA FATWA DENE WAALE KEHNE LAGE KE KUCH ILM DIYA !!!!!! IN KE APNE FATWA KE MUTABIQ AGAR INHI KI IS BAAT KO MAAN LIYA JAE KE KUCH ILM DIYA, TO BHAI SHIR THORA HO YA ZIYADAH SHIRK TO SHIRK HOTA HAI IS TARHA YEH APNE HI FATWA KI ZAM ME AAGAE...... JUB QURAAN-O-HADEES SE SABIT HAI TO BAAT KHATAM HO JAATI HAI ..... TO BHAI YEH ZAROORAT PESH AII MUJHE IS BAAT KO IS FORUM PER PESH KERNE KI WESE TO BE SHUMAR DALAIL PESH KER SAKTA HOON MAGAR QURAAN KE HAR AYAT "NAS-E-QATAI" HAI IS KO NAA MAANTE WALA ULAMA KE MUTABIQ KAAFIR HO JATA HAI..... MUSALMANO KA AQQEEDAH ALLAH (SWT) KA ILM UNLIMITED "ZAATI" HUZOOR (PBUH) LA ILM LIMITED "ATAI" (ALLAH KA ATA KIYA HUA" AGAR PHIR BHI AAP KO KOI ULJHAN HO TO JO AAYAT MEN NE PESH KI, IS KA TARJAMAH OR TAFSEER MUJHE BATA DIJIYE GA BOHOT MEHERBANI HOGI SHOAIB AKHTER MUGHAL |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| ilmeghaib |
| Thread Tools | |
| |