It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Film: Khuda kay Liye (In The Name Of God) within the Discussion Corner forums, part of the Mehfil category; Originally Posted by Mukhshif yaani Rasool Allah salallaho alayhe wasalam ki 72 Ahadees ke muqablay mai Ibn Hajar ki kahi ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#51
| |||||
| |||||
| Quote:
is leye bhaii sahab ulama ki baton per aankhein band ker k nahein gir perte, kuch apni aqal bhi istemaal kerna chaheye, wo bhi allah hi ki ata kerta nehmat he.
__________________ Learner ................ |
|
#52
| |||||
| |||||
| Quote:
asal main baat yeh hay kay ham nay deen ko bohat mushkil tassawar kiya hoya hay aur deeni baat per aisae amal kertay hain jaise zabardasti ker rahay hon ya logon kay dar say ..................Ji ss din ham nay Allah say darna aur Allah per bharosa kerna seekh liya hamara dil sirf aur sirf deen main hi lagay ga .............
__________________ /shukar |
|
#53
| |||||
| |||||
| aisa mai ne jaan boojh ke kya, ta ke aap ko bhi meri kefiyat ka andaza ho, jis ki wajah aaj Quran-o-Hadees ki nit nayi tashreehat hain, jo humay eik bilkul mutazaad simt le jana chah rahi hain, woh kuch jo 1400 saal mai na hua, hum ab woh kuch Khud sakhta Deen ke dayiray mai rehtay hoye kerna chah rahe hain, chahay us ke liye humay Ahadees ko jhutlana paray, Zayeef qarar dena paray ya apni man-pasand Qurani Ayaat ke siwa baaqi sab ke baray mai kehna paray ke jee yeh tou Sirf ussi Dor ke liye naazil hoyi theen. afsosnaak boht afsosnaak hai, aisi aqalmandi se tou hum be-aqal hi bhalay, aisay sahib-e-ilm se tou hum jahil hi bhalay. humay apni pasand ka Islam follow nahi kerna, humay Rasool Allah salallaho alyhe wasalam ka laya hua Allah ki Pasand ka Islam (Quran-o-Hadees) ko follow kerna hai.
__________________ ![]() Last edited by Mukhshif; 08-02-2007 at 01:50 PM. |
|
#54
| |||||
| |||||
| Quote:
ankhain tou un logon ki band hain jo apni marzi ka deen chahtay hain, jinho ne apne nafs ko mabood bana liya hai, woh Quran-o-Hadees se apni marzi ki baatain nikaal letay hain.
__________________ ![]() |
|
#55
| |||||
| |||||
| Quote:
Allah Ho Akber Allah Rahem Keray Ham Sab Per
__________________ ميں سچے رب كے رستے ميں سو بار لڑوں اور جاں دے دوں پهر لوٹ كے دنيا ميں آوں پهر جام شهادت نوش كروں |
|
#56
| |||||
| |||||
| Assalam o alykum wr wbkt... zaib bhai jin ashab aur time ka aap nay zikar kiya tu bhai un loogo ko tu aur koi kaam nahi tha apna ziyada tar time deen ki asahat ..us ko seekhnay aur sekhanay aur tableeg par lagaty thy ALLAH ki taraf say di gayi naimat aqal ka istamal bhi wo deen ki khair khawayi aur muslmanoo ki behtri may istamal karty thy ....aab masha ALLAH hum jaisay loog jin ko aqal ka istamal bahoot ziyada roshan khiyali may karna agaya hay har time ganay bajanay sunay aik dusry say larna tu aap khud sochoo humhari aqal tu phir asy hi taraf taraqi karay ge aur hum ko tu sirf apnay mufaad may jo acha lagay ga usi kay baray may aqal bhi use karain gay ye hi waja hai kay hum un say ziyada aur 1400 saal bad ye saab batain halal aur jaiz qarar day rahay hain .......ALLAH maaf farmaye humhary gunha aur hum ko apni aqal ka sahi istamal karnay ki toofiq day AMEEN
__________________ Allahumma ansur ikhwanana mujahidina fi kulli makan fi kulli zaman...(Ameen) Shaheed Tum Say Ye Keh Rahay Hain Lahoo Humhara Bhula Na Dayna |
|
#57
| |||||
| |||||
| aap hazraat ki batein per k maloom hota he deen bas woe he jis ko aglon ne deen keh dia, ab un ki baat se hat k koe baat kerna deen mein tehreef k muttaradif he. Kheyal rahe k yahi wo raveya he jis ne RAsool ullah saw k chacha ko haq baat tasleem kerne se roke rakha.
__________________ Learner ................ |
|
#58
| |||||
| |||||
| Quote:
Rasool Allah salallaho alayhe wasalam ne quresh ko Allah ki wehdaniyat ke iqrar ki dawat di thi, woh Allah ke bheje hoye Nabi salallaho alayhe wasalam hain, unho ne eik mushrik qoum ko toheed ki dawat di thi, jis ke jawab mai un ki qoum ke ziyada ter afraad khasoosan un ke chacha Abu Talib apne aaba-o-ajdaad ke deen ko chorhnay per tayar na hoye. aaj hum musalmano ke dermiyaan Rasool Allah salallaho alayhe wasalam ba-nafs-e-nafees khud mojood nahin, lekin un hi ki eik Hadees ke mutabiq Quran or Sunnat mojood hain, hum gunahgaron tak Islam Alhamdolilah apne aslaaf ki koshishon se pohancha hai, mai taqleed ki baat nahi kerta, lekin baat hai dor-e-jadeed mai sir uthatay fitno ki, jin ki paishan goyi bhi Ahadees mai mojood hain. hum Islam mai kisi nayi cheez ke liye aqli daleel tou us waqt tasleem karain na, jab hum mai ziyada qabil afraad, Deen ka ilm rakhnay walay afraad us ke Quran-o-Hadees se makhooz khayal karain ya Quran-o-Hadees ke mutabiq sahi tasleem ker lain. yeh nahi ke hum ulmah ki her baat aankh band ker ke maan letay hain, lekin jahan Ulmah ki aksariyat muttafiq ho jaye, wahan Islam ka humay kya hukum hai, kam iz kam mai Ulma ki kaseer ta'adaad ki Quran-o-Hadees per kisi hadh tak ilmi dastaras ko kisi eik shakhs ki mehdood ilm ki bunyaad per aqli daleelon ko foqiyat nahi de sakta. Allah Rab ul Izzat musalmano mai ittehad-o-ittafaq or deeni feham or samajh boojh ata fermaye.... Amen
__________________ ![]() |
|
#59
| ||||||
| ||||||
| Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Khair...Tarekh ka muta'lea, aur us ke saath saath is neye daur se muzayyan Ahadees, aur Quran-e-Pak ki peshungoiyaan, i guess u cannot point any finger unless u have studied all of them deeply enough...and convince your mind, and your heart....unltimately . Cares.
__________________ A heart in pain longs for rain a heart asks for no shrine No heavens divine but for a heart that's mine |
|
#60
| |||||
| |||||
| Quote:
__________________ ميں سچے رب كے رستے ميں سو بار لڑوں اور جاں دے دوں پهر لوٹ كے دنيا ميں آوں پهر جام شهادت نوش كروں |