It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Aaj Tak Samhaj Nahi Paya within the Discussion Corner forums, part of the Mehfil category; Mein aaj tak yeh samhaj nahi paya kay !!!!! agar husband wife ek doojay kay sang khush rahe nahi saktay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [5] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Mein aaj tak yeh samhaj nahi paya kay !!!!! agar husband wife ek doojay kay sang khush rahe nahi saktay tuo phir ulaad honay kay baad hee kyon un kay phadday (fights) shuroou hotay hain ....phelay kyon nahi hotay !!!wase tuo fights karna buri baat hai magar hum insaan es baat ko samhaj nahi patay khier husband wife apni zindagi tuo jee letay hain lekin apni fights mein apni us ullad ko pees detay hain jin ko abhi donoon ki zaroorat hoti hai ...lekin yeh husband wife nahi jaan patay kyon kay apni fights mein itnay masroof hotay hain kay khud ko bhi bhool jatay hain aur ullad ko bhi.....aur jab en ka yeh mamla dunia kay paas jata hai chayeh en kay family members aur en kay apne parents hee kyon na hon woh en ko sahee advise nahi detay ...kyon k dunia hee hai jalnay k liye aur aaj kal k daur mein koi bhi nahi jo sincere ho chahiyeh ap ki apni family kyon na ho mein nay deikha hai sub kuch ....mian beewi jab ek dujay jo handle nahi kar saktay tuo kia apni ullad ko handle karein gay....yeh ullad kay jis ki wajjay say en ko maa baab ka darja milta hai ...ausi ullad ko apni fights mein peestay hain aur soochtay bhi nahi kyon k enhoonay tuo jee lia jeewan aab agay kia ho en ko maloom nahi.. par ek baat hai kay en ki fights ka yeh demak en ki ullad ko aeisay barbaad kar deta hai kay woh sari umer tense reithay hain aur youn un ki choti si zindagi ghamon mein hee guzar jati hai!!!!! bas itna kehna hai kay EK DOOJAY KO SAMJHO AUR APNI ULLAD KO BHI ....ES DUNIA KO APNE MASLON MEI NA DALO KYON KAY YEH DUNIA AP KE MASLON MEIN AESIA KAAM DAY GI JEISAY JALTI AAG MEIN MITTI KA OIL...." ADVISE LO KHUDA SE...KHUD SAY AUR APNI ULLAD SAY JIN KI WIJJAY SAY AAP KO MAA BAAB KA DARJA MILLA... KHUSH RAHO HAMESHA GOD BLESS YOU |
|
#2
| |||||
| |||||
| baat to apne 100% sahi kahi hai lakin esay ghalat jaga post ker dia hai........... |
|
#3
| |||||
| |||||
| As-salam-o-alaikum Armaan sahab! urdu poets club meiN sirf shairi (aur wo bhi apni likhi hui) share ki jati hy... aap ne is moashry k aik ahm issue pr baat ki hy so maiN is thread ko discussion forum meiN move kr raha huN...
__________________ ------------------------------------------------- Bedil libaas-e-zeest bohat deeda-zeb tha aur ham ne is libaas ko ulTa pehan liya... (Bedil Haidri) |
|
#4
| |||||
| |||||
| mairay khiyal main aoulad kay baad husband wife main piyar aur un ka rishta aur mazboot ho jata hay ................. na kay oualad kay baad jhagray ......... chotay motay larai jhagray her family main hotay hain ...........kuon do mukhtalif zehan kay logon ko aik hi jaga jab aik doosray kay saath tamam omr rehna ho tou halka phulka larai jhagra aik fitri amal hay .............. magar hamaray paas dunya ka sab say khoobsoorat aur mukammal deen mojod hay aur hamaray Nabi SAW ki sunnat ......... agar ham uss per amal karain tou tamam tensions aur museebton say bach jain .............aur mein mard aur aurton ko yehi kahon ga kay shadi kay baad chand hi hafton main aap ko pata chal jata hay kay kon kiss mizaj ka hay ........iss liyay ana ka masla kissi baat ko na banaya jayay aur compromise kiya jayay .................... Inshallah zindagi bohat khoobsoorat guzray gi.
__________________ /shukar |
![]() |
| Tags |
| fahim |
| Thread Tools | |
| |