main nahin samajhta kay koi bhi yeh soch raha hoga kay
HG par honay walay election say muluk main hanay walay election par koi asar par sakta hai.
haan sawal yeh hosakta hai kay muluk main anay walay results,
HG kay results say itnay mukhtalif kiyon hain. akhir
HG bhi muluk ka aik subset hai.
waisay meri tajweez is baat ko discuss karanay ki nahin thi. jahantak mujhay yaad ata hai kay
HG main jab is election ka ailan kiya giya tha tu yeh bhi kaha giya tha kay jab vote diey jaen tu yeh reasons bhi deay jaen kay kisi ko bhi vote kiyon diya giya hai. is tarah hum andaza kar saktay hain kay hamaray log kisi ko bhi kiyon vote detay hain. mera ishara iski taraf tha.