Re: ahl-i-watan k liye khush khabri | | Asalam-o-Alaikum
Islami Jamhoriya Pakistan
Jahan Islam Pasandon ke liye Army hai.
Jamhooriyat Army ke dam se hai.
or Pakistan to hai hi Army ka............
boht Afsosnaak hai yeh sab, Ramzan ka bhi kuch khayal nahi in zalim logon ko jo musalman bhaio ko americans ki khushi or apni kursi ke liye apas mai lara rahe hain,
be-nazir or musharaf mai ab jo muqabla-e-shah se ziyada shah ke wafadar shoru hua hai, yeh tou us ki ibtada hai, aagay aagay dekhiye hota hai kya...........
mere office mai jo watchman hai wo bannu ka rehnay wala hai, us ke mutabiq ab tak us ke kaafi qareebi logon ko Army qatal ker chuki hai, jab ke un ka kisi Taliban se koi taaluq nahi hai, Pakistan Army ab Khasyaani billi khanba nochay ke masdaaq nehattay logon per bombardment shoru ker chuki hai..... is sab ka anjaam zahir hai acha nahi ho ga, lekin sab baaton ki eik baat ke Musalman ko jab nuqsaan hua ghadaron ki wajah se hua, or ghadaar ke liye Dunya mai bhi Zillat-o-ruswayi hai or akhrat mai bhi......... |