Quote:
Originally Posted by abbi1602 baat saaf zahir hay aur Quran nay saaf safa keh diya hay .......... Hazoor SAW kay pass wohi ilm tha jo Allah ki taraf say diya jata tha .............. aur Allah iss poori kainaat ki tamam posheeda cheezon ka jan-nay wala hay ....... Hazoor SAW ko wahi kay zariyay kai poosheeda batain , purany nabouon kay baray main aur deeger cheezain batayee jati theen .................
waise iss baat per behas kerna kuch samajh hi nahin aata ............ Ghaib ka ilm tha ya nahin iss say hamain kiya faida hay ? hamara eman hi tab tak muakammal nahin hota jab tak ham apnay Nabi SAW say sab say ziyda muhabbat na karain aur muahbbat ka saboot un ko sunnat per amal ker kay kiya jata hay .......... Allah ghaib janta hay poori kainaat ki tamam posheeda cheezain aur wo jissay chahta hay bata daita hay aur jo chahta hay chupa laita hay .................. |
bilkul baja farmaya aap ne , is baat pe bahas banti hi nahi hai
issi liye main ne sirf Quran ki ayaat hi share ki thi
beshak Nabhi(SAW) ko ghaib ka ilm tha laikin Allah ka ata karda jitna Allah ne unko Ata kiya
Baki Aalim-ul-ghaib to Allah ki zaat hi hai.....