Quote:
Originally Posted by Mian_Imran City Nazim ka Altaf Bhai kahan rehta hay???????????? hian na ghor talab baat?????? |
Haan Bhai bilkul ghor talab baat hay, isi ghor-o-fikar ki to aap ko dawat di ja rahi hay.
Bhai aap batain gay k aap k Shareef Log, woh log Jin ki nazeer nahi milti (yani Benazir) or baqi k fasadi mulla hazrat un k Nazim hazrat, MNA or MPA hazrat kitnay pani main hain, saray hi ghareeb ghurba hain kia? nahi na mera khayal hay jitna Election Expense in parties ka itna Pakistan ka budget hota hoga.
or jahan tak baat hay Nazim kay Altaf Bhai ki to dunia ko pata hay k woh aik poor family ka member hay, phir uskay pas itna paisa kaisay aaya? main agar kabhi is baat ko realize karna ho to MQM k kisi jalsay ki karwai daikh lijiye ga tassub ki patti aankhon say utar kar.
Jab awam Altaf hussain ki awaz sunti hay to Awam ka kia behaviour hota hay? note kijiye ga.
Jab Altaf Hussain kuch kehta hay to uspar Awam ka kia response hota hay, ye bhi note kijiye ga. shayad aap ki samajh main aajaey k Nazim ka Altaf hussain kahan rehta hay or kaisay rehta hay.
Karain gay na ghor?????????????
