Quote:
Originally Posted by Mukhshif Asalam-o-Alaikum
Ahadees mai bilkul wazahat ke sath ganay bajanay ko Haram qarar diya gaya hai, ma-siwaye shadi biya per lerkio ke munasib shayiri walay shadi ke geet ganay ke.
is ke bawajood jo is baat per mussir ho ke mosiqi haram nahi, woh goya ke Hadees ka inkaar ker rahe hain.
Moulana Mufti Muhammad Shafee (r.a.) ne apni kitaab "Islam or Mosiqi" mai taqreeban "32 Ahadees" Mosiqi ke Dalayil-e-Hurmat baab mai or taqreeban "40 Ahadees" mosiqi ke Dalayil-e-Abahat baab mai jama ki hain.
jin logon ke zehno mai yeh ibhaam paida ho gaya hai ke janab Islam mai mosiqi Khudanakhuwasta Halal hai, un ko chahiye ke Mufti-e-Azam Moulana Shafee ki kitaab ko study karain, us mai boht kuch aisa jama kya gaya hai ke aap ke zehno mai mojood taqreeban sab hi sawalon ke jawab inshaAllah aap logon ko mil jayen gay.....
mujhe afsos hai mai us kitaab ke 447 pages yahan share kerne se qasir hoon, lekin please ab is behas ko ussi waqt aagay berhaya jaye, jab behas mai shareek log sab Ahadees ko perh chukay hon, ta ke hum sab mazeed gunahgaar na hon....
JazakAllah |
mufti shafi sahab ne jo ahadith mosiqi k hurmat mein beyan kein hein un k saath un ahadith per mohaddeseen ki jarah bhi likh di he, Ibn Hajar k nazdeek aese saari ahadith ahsan k derje ki nahein hein.