Quote:
Originally Posted by Irfan App jub yah kahtai hain kai gulat istadlaal keya jata hai to is sai AQpp ki keya murad hai ? kiyon kai yah istadlaal humara nahe 10 sahaba-e-kiram (R.A) ka hai or sahaba bhe kon sai Hazrat Abdullah bin masood (R.A), Hazrat Abdullah bin Abbas (R.A) jin ka fatwa App (S.A.W) kai door main chalta tha @};- keya on ka yah istadlaal gulat hai ?
App masha Allah mujh sai zeyada parhai likhai hain App jantai hain kai baz Alfaz Apnai Andar bohut sai Alfazon ko laey hotai hain yani kai mukmal detail bayan karnai ki zarorat nahe hote sirf wo word kah daina kafi hota hai jaisai English ka aik word hai secretary Education Ab is ka Urdu tarjuma kuch or ho ga but Aghar app is ko Apni CV main likhain gai to mutlub kuch or ho ga @};-
Ab Lahwa alhadith sai keya murad hai yah yaqinan App or mujh sai zeyada wo logh jantai hoon gai jo kai App (S.A.W) kai qareeb tar thai @};- |
Istadlaal ka matlab he kisi baat ko daleel banana. Jese aap ne mosiqi ki hurmat ko sabit kerne k leye is aayat ko daleel banaya, yaanii is se istadlaal kia. Sahaba se jo baat manqool he wo yahi he k unhon ne lahw alhadith se gana bajana murad lia he. Leykin kia unhon ne is aayat ko mosiqi ki hurmat k leye daleel banaya he, ye baat waze nahein. Mein ne bhi lahw alhadith ka koe aor matlab nahein bataya, unhi k mafhoom ko lia he. Leykin aayat lahw alhadith ko 'mutliq' ghalat nahein qaraar detii, mein ne is ko waze kerne ki koshish ki he. Sura Jumma ki aayt per ghor kejeye, wahan to lahw aor tajirat donon ki takfir ki gaye he, leykin kia us aayat ko samne rakh ker aap tijarat ko ghalat qaraar dein gein ?...zahir he k nahein is leye k wahan aslan tijarat ko ghalat nahein kaha geya, balke us mein had se bher huwe mashghuleyat ko ghalat kaha geya he. Yahi baat lahw baton k leye bhi mani jaaye gii.