Quote:
Originally Posted by Aik Lamha O munda payen.... meiN nay aap ko group me shamil nai kiya. actually khatoon nay me ko un logouN k group mein shamil kerdiya jo ittifaq se wahi keh rahay thay jo me keh raha tha... aur phir grouping ka ilzam bhi lagaya... to me nay unko ye ahsas dilanay k liye aisa to unki taraf bhi hay.. ye likha.. .i didn't mean that you have a group.... sorry anyways... |
bhai aap shayad ab bhi meri baat nahin samjhay main na mqm kay mukhalif camp main hoon na hami camp main. main tu un bewaqoofon main say hoon jo kah rahay hain kay hamaray tamam siyasatdan aur rahnuma aik hi theli kay chattay battay hain. hamain kisi aik say nahin balkah tamam say nijat hasil karnay ki koshish karni chaey.