me nay to pehlay hi kaha tha k u ko yaqeen nai kerna to na karo...

... but meri ye baat bhi yaad rakhna k iss
kahani k kirdar, maqamaat aur waqeyaat bilkul sachay hein
iss ka matlab to ye huwa k muttahida ko 92 tak kali bhereiN hi chala rahi theeN... phir jab operation shuru huwa to socha gaya k in kali bherouN se jaan churayee jaye... jo aqalmand thay unhoN nay haqeeqi ki chatri talay panah li.. aur jo baywaqoof wafadaar thay unki mukhbari kerwa ker chun chun ker merwa diya gaya... iss se ka'yee iqsam ka fayeda huwa... Altaf payen ko apni purani siyasat chornay ka moqa mila...
bari bari kali bherouN se nijaat mili... aur Altaf Payen.. muft meiN mazloom ban gaye

... wese pichlay dinoN hi me nay parha tha k Altaf payen nay in
kali bherouN ko aam muafi deitay huway inheiN wapus muhttahida meiN anay ki dawat di hay.... ab kia zaroorat par gai in kali bherouN Ki?
Quote:
Originally Posted by *Moon*Corona* Qissay kahaaniyan khoob keh letay hain aap ye to khair sab he jantay hain
achi kahaaniyan hain 
bhai meray her tanzeem main kaali bheren bhi hoti hain
aisi he kaali bheron ko jotay maar k tanzeem say nikala gia tha
to Haqiqi k naam say tanzeem bani thi aik adad
ye bhi ap jantay he hongay
baqi aap ki aqal pay depend karta hay
k kia sochtay hain
jo kehna hay kahen aap ko bh iaazadi hay  |