kisi nay khud ko witness kaha.. kisi k liye... to ayeiN hum bhi apni witnesseiN batatay heiN... mujhay iss se koi gharz nahiN k jamiyat kaisi hay... agar jamiyat dehshat gard hay to is sse MQM k dehshat gard honay ki saNgeeni kam nahiN hoti... AyeiN.. me aap ko MQM ki wo herkataiN batata hooN.. jo meiN nay Latifabad meiN un k markaz k qareeb rehtay huway dekheeN...

aap chahaiN to yaqeen na kijiye ga..

me naam looNga sub k ... aap chahaiN to confirm karwa lijiye ga ye saray waqeyaat...
Latifabad Number 8, Jama'a cloth Market k samnay wali gali MQM ka garh kehlati thi... 1988 se shuru kertay heiN.. ye uss waqt ki baat hay .. jab hum 9 saal k thay... hum ko halaat ka pata nahin tha.. muhallay k saray larkay MQM ka hissa thay.. kisi na kisi hud tak... hamaray ghar bhi atay jatay rehtay thay... balkay hamaray ghar ka sehan buhat kushada tha to MQM ki weekly meetings wahiN hoti theeN.. hum meiN surtabi kernay ki himmat thi na isski ijazat... buss jab tak meeting hoti thi.. hamara apna adha ghar ham se cheen liya jata tha

hum bhi bachpanay meiN khush hotay thay. k chalo qoum k kisi kaam to aye..
Muhallay k sarkarda karkunaan meiN ... Nadeem Umer, Sohail Mushadi(MNA raha hay), Kanwar Naveed ( jo zara door rehta tha), Faisal Mushadi, Arif choozi, Waseem khoti.. Nauman , Adnan...etc etc thay ..
1988 se 1990 tak Sindhi Muhajir fasadaat urooj per thay.. Latifabad MahajiroN ka area tha.. laikin wahaN uss waqt tak sindhi bhi rehtay thay... Muttahida nay 1989-1990 k dawran un tamam sindhioN ko jo uss waqt tak wahaN se nahiN gaye thay... apnay hamloN ka nishana banaya aur kayee sindhioN ko maar dala.. aik operation batata hoN jis meiN Nadeem Umer, aur Faisal mushadi bhi shamil thay.. unhoN nay aik sindhi ghar per hamla kiya.. maaN baaap , 2 bachouN ko maar dala... aik baita bhag gaya.. aur aik beiti aur kaam kernay wali kisi tarhaaN bach gai... wo bachi jo bach gai.. wo meri choti behen ki class fellow thi.. class 2 meiN thi... phir zahir hay ussko uss k rishtay daar lay gaye... uss larki se salouN ba'ad meri behen ki mulaqat huwi to uss nay nafrat se dhutkaar diya.. uss waqt tak to uss ka gumshuda bhai hunoooz gumshuda hi tha..
Jama' cloth market se bhatta laina Arif choozi ki zimmaydari tha.. jo buhat hardcore karkun nai t ha.. haaN na'aray laganay aur jhanday laganay meiN agay agay... agar koi dukandar bhatta denay meiN chooN chura kerta to Arif payen uss ka case Nadeem Umer payen ko forward ker deitay...
Nadeem Umer aur Faisal Mushhadi bachpan k dost thay aur saray dakay shakay aik saath hi mara kertay thay...phir suna k kisi dakaiti meiN Faisal Mushhadi nay tanzeem ka hissa nahiN diya... .. Nadeem Umer ko ooper se ahkamaat mil gaye k Faisal payen ko saza di jaye.. Nadeem payen nay Faisal Mushhadi payen ko Sidduque Plaza k aik Sindhi doctor k clinic banaaam Niaz clinic me ja ker goli maar di.. aur ilzaam Niaz payen per laga diya.. Niaz payen.. bari mushkil se bhagay..
Iss waqaye k ba'ad Nadeem Umer meiN tanzeem se baghawat ka ahsas jaga... wo ghantoN konoN me baith ker routa rehta... phir aakhir uss nay ye raz fash ker hi diya.. jis ki saza usay kuch iss tarhaaN mili k uss epr qatilana hamlay shuru hogaye... wo jahaN jata usski mukhbari ho jati... phir aakhir kaar uss nay 1992 k ba'ad bannay wali tanzeem Haqeeqi meiN shamooliyat ikhtiyar kerli... ab wo ilaqa Haqeeqi ka garh samjha jata hay.. .Jama'a cloth wlaay double mushkil meiN haiN k ab unko 2 bhattay deinay aprtay heiN.. Nadeem payen ko alag.. Muttahida ko alag..
Hyderabad aik chota shehar hay.. jahaN communities buhat strong heiN.. karachi ki tarhaaN loug aik doosray say la talluq nahiN hotay.. issi liye her Hyderabad wala kisi na kisi tarhaaN doosray ko janta hay.. is liye Hyderabad meiN rehnay walouN se wo bateiN nahiN ch up sakteeeN jin se karachi meiN rehnay aur palnay barhnay walay na ashna hotay heiN... MQM ka jo kirdar meray samnay raha hay.. uss k ba'ad sawal hi paida nahiN hota k meiN iss dehshat gard jama'at ko siyasi jama'at manooN

meiN to jahil hooN... aap Hyderabad k kisi bhi parhay likhay Muhajir nawjawan se uss k khyalaat ma'aloom kerlijiye...
Quote:
Originally Posted by *Moon*Corona* 1.gif) dear sab say bari terrorist party to jamat e islami ki pali hoi isami jaamiat talba party hay
jitna aslaha un k paas hay utna kisi k pas nahi hay
or is ki witness main hoon
90s k terrorism k baray main nahi pochon gi k kis cheez ko ye naam day rahi hain aap .. mgr heyrat zaror hoi k aap ko wo sab kuch kia nazr nahi aaya jo 92 say 96 tak hota raha ..
any wayz aap say wazahat ki talabgaar nahi hon
cuz aap log her baat k jawab main apni man pasand kahaaniyan sunana shoro kar detay hain . |