Quote:
Originally Posted by s_k_nawaz Mere bhai AAS bohot afsos hooa k aap ki nazar kamzor hay ummed hay kay aqal kamzor nahi hogi.
pehli baat to ye k agar aap Karachi main hotay ya yahan ki khabrain rakhtay to pata hota hay jitnay qatilana hamlay Altaf Hussain par mukhtalif Siyasi Jamaton ya ISI nay karwaey utnay Hamlay to Dushman mulk par bhi nahi hoeey. Is liye unka Asylum lena koi hairat ki baat nahi.
Benazir to moqa parast aurat hay, muqadmaat say jaan chhura kar aisi bhagi k palat kar nahi aai or jab tak apnay aaqa yani America say jaan ki aman nahi lay gi wapas bhi nahi aaigi.
Shareef Family ka to sab ko hi pata hay, General Musharraf say deal ki 10 saal tak Pakistan k mamlaat main nahi bolain gay. phir 5 saal baad hi muaheday ki khilaaf warzi kartay hooey bolna shroo kardia. Shayad Qarz Utaro Mulk Sanwaro ka paisa khatam hogaya hoga, ab naey siray say koi chanda jama karna maqsood hoga.
Be-shak aap MQM say hate karo, mitti pao or khaak dalo, but jo facts hain agar un say nazrain churao gay to apna hi galat karo gay. jab is baat par ittefaq sab hi kar rahay hain kay Nawaz Shareef, Benazir or Jamat-e-Islami nay na tou mulk-o-Qoum ko kuch dia or nay day saktay hain to thora is baat par bhi ghore karlo k aakhir koi to wajah hogi k MQM na sirf Karachi, Hyderabad main balkay ab to Internal Sindh main Punjab main, Balouchistan main or NWFP main even ye ka Azad Kashmir main bhi maqbool hoti ja rahi hay, kuch to hay k Nawaz Shareef, Benazir or ISI k bad-tareen operation k baad bhi MQM na sirf zinda hay balkay roz baroz maqbool say maqbool tar hoti ja rahi hay.
aap aaj na soch waqat aap ko khood hi sochnay par majboor kar day ga. |
Mere bhai AAS bohot afsos hooa k aap ki nazar kamzor hay ummed hay kay aqal kamzor nahi hogi. Agar yehi baat maine aap ko kehi hoti to?.......Zara soch samajh ker ilfaz ka chunaao kerain...
Khair...aap aik kaam kerain...mera reply phir se aik baar perh lain...aap mujhe yeh cheeda cheeda facts suna rehe hain....mugur kis khate main...i have no distinctive clue as against....Jub main khud munda_khi ko aur aap ko bhi apne replies main yeh keh chuka hoon ke,...Pakistan ki baqa aur khushali ke liye filhaal koi bhi democratic party nuzur nahin aayi, ke us nain koi khatir khuwah kaam kiya ho, kissi mushkil ka bera paar kiya ho!!!...aap pata nahin kiyoon MQM ki muqbooliyet le ker aa gaye hain...aur waise bhi aaj kel agar aik baar phir polling ho gi to saaf pata chul jaye ga ke MQM kitne pani main hai...
Mera wohi kehna S_K_Nawaz sahib...reply dekh ker jawab dain.
Shukriya.