Mere Dost itnay Jazbati nahi hotay.
aap nay Mutahidda k terrorist ko to firing kartay hooey daikh lia umeed hay apni aankhon say daikha hoga
1.gif)
laikin aisa kyoon nahi hooa k unhi aankhon say aap nay Jamat-e-Islami, PPP, Nawaz Shareef or to or Punjabi Pakhtoon Ittehad kay TERRORISTS ko nahi daikha?????????????? ????? ya aap unko daikhna nahi chahtay thay????????????
baron say battamizi koi bhi kar sakta? woh is k liye personally zimmedar hay, is baat par aap beshak unko bura bolo jis nay battamizi ki. or shayad aap nay kisi or party k ghundon ko daikha nahi warna aap MQM kay karkunon ki in batamizion ko bhool jatay kia main Punjab main honay walay Chohdriyon kay mazalim dohraoon????????? chhorain itna to aap ko pata hi hoga. thay are more than TERRORIST, jin logon ko apni qoum ki maaoon behnon ki izzatain lootnay main koi sharam nahi aati woh in terrorists say kahin barh kar hain.
MEDIA PRESENTED LIVE

dost Media ka ghinaouna kirdar kia aap nahi jantay?????????????? Media to Karachi Dushmani main waisay hi mashhoor hay. Geo/Jung/Mir Khalil n Family to waisay hi thali k bangan hain, ARY naam-nehad molviyon k supporter hay, AAJ TV Karachi Dushmani main sab say agay shayad Nawaz Shareef and Family ka supporter hay. Usi Media ko jab MQM nay PPP, PML(N) or Jamat ki firings or killing ki video provide ki to sab ki zubanon par talay kyoon lagg gaey???????????????? ???????????????????
dost mere maffi chahta hoon aap ko ye kehtay hooey kay MQM ya Urdu Speakings say ziada Muhabb-e-Watan or koun hoga jinhon nay apni Naslain apni Jaan-O-Maal Qurban kia Pakistan k liye. ab aap ye keh dain k 20 lakh janon ki qurbani aap nay di thee.

Benazir Bhutto ki India say mohabbat bhool gaey aap??????????? ab usi benazir ki gode main Nawaz Shareef, Imran Khan, Qazi or Fazal-ur-Rehman baithay hain, ab batain Koun balkay koun koun hay India ka Agent?????????????
Chanday or Bhattay lainay wali MQM nahi, kabhi Karachi aana ho to Malir k ilaqay Millat Town jana. wahan Bus stand par bhatta laitay hooey Punjabi Students Association or Punjabhi Pakhtoon Ittehad kay members ko apni aankhon say daikh laina.
Karachi kay Ilaqay Lines Area jana ho to Tehreek-e-Insaaf kay member Imran Khan k baray main tahqeeq karlaina, Heerion baichta hay, Paisay laikar college kay larkon k papers clear karwata hay teacher ko gun point par lay kar.
Police ki madad say chheeni hooi gariyan baziyab karwata hay logon say paisay lay kar, ye alag baat hay gariyan uskay apnay logon kay gairaj main say baramad hoti hain
kabhi National Highway par jana ho to kisi PPP k rehnuma ka card jaib main rakh laina warna daku maal to chheenain shayad jaan k lalay bhi par jain. Haan PPP ka card hoga to izzat say apna bhai keh kar chhor dain gay, aik hi party say talluq ki bina par.
Jo Qaid ka ghaddar hay woh mout ka haqdar hay MQM kay karkunon nay likha tha Karachi ki deewaron par or Karachi ki awam is baat par bilkul mutaffiq hay, ab khush

Dost Mere Jin Jaraim Paisha logon k liye likha tha woh to aaj tak dandanaty phir rahay hain balkay Army or ISI ki meezbani kay mazay loot rahay hain. Ye aqal say samajhnay wali baat hay kisi kisi ki samajh aati hay k jo log apnay Quaid say mohabbat kartay hain un par qatilana hamla karnay walay ko ghaddar or mout kar haqdar samajhtay hain. Laikin hairat ki baat hay k usi jaraim paisha ki Punjab main mera matlab hay GHQ main, Qazi k ghar main or PPP or PML(N) main bari izzat hay, kia karobar aik hi hay sab ka??????????????
Wese aik baat ka jawab day dain, MQM ki dehshat gardian bari nazar agaeen ap ko. Kabhi Afaq Ahmed jisay GHQ nay pala tha uski dehshatgardi or baron say battamizi nazar nahi aai aap ko

kabhi Punjabi Pakhtoon Students ki dehshatgardi nazar nahi aap ko Karachi University or colleges main Jamiyat ki dehshatgardi nahi nazar aai aapko??????????????? ????
agar nahi nazar aai to I Invite You, Come and have a visit.
Educated and sensible logon nay kabhi MQM ko vote nahi dala................ hahahhah

bhai meray ab aap ye kehna chahtay ho k 1.5 caror ki abadi walay shehar main saray hi non-educated log hain ?????????????? hahahahahaha
shayad jabhi Chohdari Pervaiz Elahi itna baichain hay k program chala raha hay PARHA LIKHA PUNJAB k chalo pooray mulk main koi ilaqa to parha likha ho jaey. hahhahaha
aap ki nazar main sensible shayad woh ilaqay hain or woh log hain jo Mazhabi janooniyon say mouhaida kartay hain k Vote dena aurat k liye ghair islami hay or Election main Jamat or Fazal-ur-Rehman ki beshumar Aurtain khari bhi hoti hain, us ilaqay k log unhain vote bhi daltay hain, but unki aurtain vote nahi dal sakti, ghair islami jo hay. wah wah kia sensiblity hay.