View Single Post
  #33  
Old 07-22-2007, 05:54 PM
s_k_nawaz's Avatar
s_k_nawaz s_k_nawaz is offline
~*sHaH jEe*~
 
Join Date: Jul 2003
Location: Karachi, Pakistan.
Age: 30
Posts: 132

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 0
s_k_nawaz is infamous around these partss_k_nawaz is infamous around these partss_k_nawaz is infamous around these partss_k_nawaz is infamous around these partss_k_nawaz is infamous around these parts
Default Re: ~* Muthida Qaumi Moment *~

Quote:
Originally Posted by munda_khi View Post
meray khiyal main bhai sahib masla yehi hai. meray khiyal main apnay bhi yeh baat zaroor sun rakhi hogi kah kay agar insaf across the board na ho tu phir woh insaf nahin lagta. jaisa kay apnay khud kaha kay although saray siyasi parties buri hain magar hum sirf mqm kay khilaf mahaz banarahay hain.
main aik aisi family say hoon jiskay almost tamam log jamat islmai kay voter hain. kuch tu sargaram karkun bhi hain. main nay bhi student life islami jamiat talba main guzari. magar jab kuch maturity aaey tu ihsas huva kay faraq sirf naroon ka hai final goal ka nahin. jamiat kay liey bohat say aisay kaam kiey jinkay baray main ab sochta hoon tu woh na kahin say islami thay aur na kisi aur party kay karkonon say mukhtalif.
agar hum sirf aik ko bura kahaingay tu hamaray masael kabhi hal nahin hongay kiyon kay even agar woh party khatam hogai tu bhi masael wahin rahaingay. 60's main ayub kay khilaf aur 1977 mian bhutto kay khilaf tamam jamatoon nay mahaz banaya aur woh hukumat khatam hogai magar hamain bahaisiyat muluk aur qoum koi faida hua. ab bhi baat agar sirf 'Musharraf' aur 'MQM/Altaf' ki hai tu kiya in logon kay picture say hat janay say hamaray masael khatam ho jaengay.
raha benazir aur nawaz sharif ka tu yahan main aik sachai wazah kardon kay dono main say koi bhi mulk badar nahin hai. benazir (same as altaf) muqadmat ko face nahin karna chahteen isliay apni marzi say mulk say bahar hain jabkah nawaz sharif muqadmat say bachnay kay liey aik muaheday kay tahat mulk say bahar gaey hain. woh dono wapis ajaen hukumat ziyada say ziyada kiya karaygi unko jail main dal kar muqadmay hi chalaeygi na aur tu kuch nahin.
Bhai merey Jamat-e-Islami ka to ye haal hay k:

Election main Quran dikha kar vote laytay hain !!!

Fasadaat main Lashain shehron main ghuma ghuma kar Vote laytay hain !!!

Aman-o-Aman main jholiyan phaila kar Jehad ka chanda laitay hain or phir kha jatay hain - MQM apnay paison say Qazi ko Airline ticket bhijwati hay k bhai dosron k bachon ko bohot jehad par bhaij dia ab zara khood Iraq chalay jao to lame excuses paish kartay hain !!!

Baqar Eid main Kalain cheentay hain !!!

un logon say sirf aap hi nahi poora mulk bezaar hay. aap nay acha kia jo un logon say front hogaey.

Umeed hay mustaqbil main soch samajh kar vote dalain gay.
__________________
Be-Shak Namaz Buray Kamon Say Rokti hay (Syed K. Nawaz)
Reply With Quote