Re: Madad mangna | | janab khurram sahib welcome to Dicussion corner ..................ha m umeed kertay hain kay ham ki maloomaat say istefada hasil karain gay ................ aur jahan tak iss waqea ka tualaq hay iss kay liyay arz keron ga yahan per kissi nay 2 alag cheezon ko yakja kernay ki koshish ki hay ............... musalmaan bhai ki dua zaroor qabool hoti hay magar agar wo khushi say karay ......aur insaan dua khushi say tab kerta hay jab wo uss momin say khush hota hay ...yani aap kissi musalmaan ko takleef na dain ........... aur jahan tak pukarnay ka tulaq hay aap kissi shakhs ko nahin pukar saktay ............. Agar Allah na chahay aap ko bachana tou kiya wo buzarg bacha saktay hain ????????????????? aap sab ka jawab nahin ho ga ............ aur agar Allah chahayay bachana tou kiya wo buzarg marwa saktay hain ?????????? aap sab ka jawab ho ga nahin ...hay na ........... tou bhai phir kissi aur ko kuon pukarna ................ AL-QURAN .. SORA ZUMAR AAYYAT # 2
Sirf ibadat Allah hi kay liyay hay aur jin logon nay uss kay siwa aur dost banayay hain aur kehtay hain kay ham in ko iss liyay poojtay hain kay wo hamain Allah kay qareeb ker dain gay aur jin bataon main yeh ikhtelaf kertay hain Allah uss per faisla ker day ga aur Allah jhootay aur na shukray logon ko hadayat nahin daita .
__________________ /shukar |