Re: Madad mangna | | Tayyab bhai na hi maira kissi firqa say tualaq hay na hi maira maqsad kissi khas griup ki hamayat kerna hay ............... abuabdullah bhai ki baat bilkul theek hay kay ham yahan iss liyay discussion kertay hain kay hamara ilm share ho aur yaad rakhain ilm share kernay say hi barhta hay ......... aur fatah sirf sach ko hoti hay ............. maira sirf itna janta hon nobody is perfect in this world Allah aur uss kay Rasool SAw ki zaat ayyub say paak hay ............ iss liyay tou Allah fermata hay " Ham nay iss Quran ko samajhnay kay liyay aasan ker diya hay tou hay koi kay sochay samjhay " deikhain deen main baat say baat nikalna ya behas ko tool daina koi mani nahin rakhta ................ mein nay aik ayyat share ki hay jo sab agree karain gay ........... phir sochnay ki baat hay na kay ham kissi aur say kaise mang saktay hain ???????????? aik misal daita hon ........... zara thanday dimagh say sochiyay .... yeh tou app ko pata ho ga kay Hazoor SAW nay fermaya Allah ko 70 mothers say ziyada apnay banday say muhabbat hay ............tou agar aap nay apni maan say koi baat manwani ho tou kiya kissi parosan kay pass jain gay ya kissi rishta daar ka sahara ????????????????? maan ko direct hi kahin gay na .......... aur agar aap nay kissi ka waseela banaya tou lazim hay kay maan ka dil dukhay ga kuon kay aap nay dil ki baat maan say kuon na kehi ..........issi tarah Allah bhi na khush hota hay ...... mein nay yahan note kiya hay kay behas kay chakkar main log jeetnay kay liyay bohat barha charha kay dalail paish kertay hain jo kay ghalat hay ............
__________________ /shukar |