Qurbani ki taqseem | | Eid ul azha kay moqa per her musalmaan bohat zoq shoq say sunnat-e-ibrahimi qurbani ki shakal main poori kerta hay............maira sawal yeh hay kay jaise kay aam tor per Qurabi kay gosht ko 3 hisson main taqseem kiya jata hay 1 - masakeen/ghurba 2 - aziz-o-aqarab 3 apnay liyay
mein jan-na chahta hon kay iss taqseem kay baray main kon kon si ahdees hain aur asal sunnat kiya hay yani hamaray Nabi SAW say kiya baat sabit hay ................ waise to saaf zahir hay kay iss ka concept hi yehi hay kay ham dil khol ker un logon ko gosht khila dain jo aam halat main afoord nahin ker patay ................mujh ay aap sab kay jawabat ka intezar rahay ga.
__________________ /shukar |