Radio ne das baje shab ke khabar dee Eid ki
Aalimon ne raat bhar is news kee tarweed ki
Radio kehtaa thaa sun lo kal hamaree Eid hai
Aur aalim kehte thay yeh ghair sharyee Eid hai
Do dhadon mai bat gaye thay mulk ke saare awaam
Ik taraf sab muqtadee thay ik taraf saare imaam
Beta kehta tha ke kal shaitan roza rakkhega
Baap bola tera abaa jaan roza rakhegaa
Beta kehta tha mai sarkaari afsar hoon janaab
Roza rakhoonga to mujh se maanga jaayega jawaab
Baap yeh kehta ke phir yun baam per eimaa ke chadh
Roza bhi rakh aur roze mai namaaz-e-Eid padh
Aaj kitna farq full stop aur comma mai tha
Baap ka roza tha beta Eid ke jaame mai tha
Ikhtilaaf is baat per bhi qaum mai paaya gaya
Chaand khud nikla tha ya jabran nikalwaaya gaya