Re: Let's meet our Friend...... Khush | | Quote:
Originally Posted by khush 8: Koi aisa img jis ko bananay main bohat mushkil paish ai ? Mujhy mushkil 1 hi cheez may ati ha, …keh image May Banaya kiya jay ,…… Aysa kiya banaya jay keh daykhnay wala alfaz ki Khubsorti mehsoos kr sakay, …laykin technically kisi image ko bananay may kitna time lag jata ha dimag lag jata ha..? ..... to vo mayray count may hi nahi ata:D, coz dihan itan hota ha keh andaza nahi ho pata keh kon sa image kitna time lay paya,.. Mushkil ya uljhen wali situation ab tk just 1 hi image may hoi ha,vo mushkil jis ka mujhy hel nahi mila.. or is ko BANANAY ki Mushkil or uljhen ki wajah say hi may sahi say na bana pai … or na hi alfaz say insaf ho paya,…. yak keh lain, may satisfy nahi …. Or comments bhi kuch uuu hi milay thay is pr:D 9: Aap apni Designing ko kaisey rate karti hain? just 2 batoon pr, …. Aik … Jo kaha jara ha ho vo image daykh kr hi Mehsoos ho raha ho, & 2ndly ….. Neat ho Or 1 or cheez keh poray deisgn may koi 1 cheez to ho jo attract kr rahi ho, ya keh lain koi 1 wajah jo keh image ko KHAS bana jay 10: Kis cheez ko improve karna chahti hain magar hoti nahi? Bohat c chezain hain, Design may bhi ,life may bhi, Mushkil paysh ana (Q.8) or yeah sawal takreban 1 jaysay hi hain Poetry designing may …… aysa kuch ha nahi Jo HOTA NAHI.. han kabhi atak jati hon … kisi bata pr….. pr koi na koi rah nikl hi ati ha… so yeah Atakna to mukhtalif waqt may mukhtalif points pr hota hi rehta ha... Aj kel koi naya idea nahi sojh raha , so aj kel yahi sab say bari problem bana hoa ha 11: Ab tak kitnay awards hasil kiye ? Technically.. koi nahi , … … Practically …. Bohat *Sab say pehla mayra award yaha pr “Tankeed Nigar” ka khitab Hasil krna tha , or is ki khaber mujhy Mast Qalender sahib say mili thi * Then Assim bhai Urf Kabeer bhai say ON ka “Madha” honay ka khitab mila, *pir Creative bhai nay kaha keh “mujhy ap kay kam ki sab say achi baat yeah lagti ha keh Ap her cheez khud banana ya arrange krnay ki koshish krti ho” Mayray liya yeah comments kisi award say kem nahi * last time Raaz Nano ji nay kaha keh “I always Wait 4 ur sharing” Mayray liya yeah bhi ayzaz ha *1 or Aasim sahib Urf Bolt sahib ….. Zaberdasti kay shagird ban jatay hain kabhi kabhi , …. Mayray liya yeah bhi Ayzaz ha, (ab to kem hotay ja rahay hain ) * last time kisi New member nay mujhy PM kiya keh “I saw u helped some one here so plz mayri bhi maded karain” Mayray liya yeah bhi khushi ki baat ha *Yaha jo bhi krti hoon bas uu hi krti rehti hoon , .. laykin ap sab kafi Izet krnay lag gay ho(Maray majbori hi sahi , laykin krnay lag gay ho ) * or pir ab to 1 or Ayzaz say nawaza giya ha humain , yeah Hot Seat bari Zoor ki Pari ha humain . BAki kay ayzzazaat abhi yaad nahi a arahay , sath sath kay koi yaad aya to das doon gi Really thankful to All of U to give such a Respect & honor walay comments & cheezain … bama is Kursi kay … 12: Ager Aapko HG Graphic Arena ka MOD bana diya jaey to pehley 5 kaam aap kia karain gi? …. , … yeah sawal pehlay kabhi nahi hoa kisi say, Out Of Course ha yeah , I objection 1)Login , 2)Admin Zone ki Talashi ,3)motay chashama laga kr Rules pr 1 bar pir 1 gehri nazer, 4)Os section ki talashi jaha ka kila kamam krnay ki zimadari mujhy di gai ho gi, 5) or akhir may Astegfaar pehr kr apni Salamti kay liay Dua karoon gi 13: Koi aisa design jou aap k mutabiq master piece tha mager member ki janib sai us ko itni pazeerai nahi mili ?Well … haan kuch kuch thay aysay images jin pr mujhy itnay NaPasendidgi walay comments ki tawaqoo nahi hoti , laykin tabiiat theek thaak hashash bashash ho jati ha , but amoman vohi milta ha jo botay hain hum. .. bas 1 pr uu laga keh may nay baray pyaar say banaya tha , new bhi tha pir bhi OTNI izet nahi hoi os baycharay ki jitni may nay sochi thi , or jitna soch soch kr may nay banaya tha i think its My Master peace http://www.hallagulla.com/urdu/photo...0By00Khush.jpg image Khasa bara ha so instead of pasting here, plz check the link 14: Tanqeed kaisi lagti hay ? bardasht kar leti hain ya disheart hojati hain ? Mayra khiyal ha sab hi jantay hain keh may just “nice work” say inatahai tang per gai thi, shoro may bhi or ab bhi, Mayary khiyal may her banday ki soch mukhtalif ha , jo hum nay socha zarori nahi keh agla bhi WOHI sochay ya Waysa hi sochay, & I love to c things in different ways, so … mayray khiyal may .. mayri khuwahish hoti ha keh Sayhet mand tanked ki jay, bajay is kay keh just “nice work “ pehnay ko milay…. ‘kiya change ho skta ha ,,kiya kis trha Ap kay khiyal may behter lagay ga’ Zaroor batana chaiay , chahay koi bilkul new member hi ku na ho,…… haan jaha ap Apni Ray day rahay ho waha kabhi kabhi Khaliq ki apni Ray or apni pasend ki bhi apni ahmiyta hoti ha , so may amoman kisi ki bhi tanqeed ko apnay nazriay say daykhnay ki koshish krti hoon ager mujhy bhi Vo baat OS trha zada wazay lagay to bari hi khushi hoti ha keh waqai aj may nay kuch sikha ha, ager os trha nahi lagta to yahi khiyal ata ha keh may nay kisi or theme say banay ha , haan ager jaysya Sahab keh rahay hain os nature say banati to yaqenan in baat sahi hi hoti, …… baki kabhi kisi ki baat just KASER lagti ha:D, & I used to just ignore it, keh its fi9 :D, Sab 1 jaysa nahi sochtay 1.gif) |
hmm itney awards ... 1.gif) 1.gif) ........ is mein mera koi shamil nahi kya Aapney :(:(.......  ...!
Last edited by generous heart; 04-06-2008 at 10:06 AM.
|