Hum ne darwaza dil ka khula rakh diya | | Hum ne darwaza dil ka khula rakh diya Haadsoan ke liye raasta rakh diya Yaad andhere mein khaye na thokar teri Hum ne sulga ke dil ka diya rakh diya Qurbatoan ka taqadus jo manzoor tha Darmiyan hum ne kuch faasla rakh diya Mein ne jitni kitabein thi is door ki Kaat kar in mein hurfe wafa rakh diya Pairahan in ka chukar jo aayi hawa Naam logoan ne is ka saba rakh diya Zindagi hat gayi le ke apna badan Haath meine jo is par zara rakh diya Haal apna na hum aey Ali likh sake Bas utha kar qalam baar ha rakh diya Dr.Ali Ahmed Jaleeli
Last edited by hotkhan; 03-01-2008 at 09:27 AM.
|