tumhaare Khat me.n nayaa ik salaam kis kaa thaa | | tumhaare Khat me.n nayaa ik salaam kis kaa thaa na thaa raqiib to aaKhir vo naam kis kaa thaa vo qatl kar ke har kisii se puuchhate hai.n ye kaam kis ne kiyaa hai ye kaam kis kaa thaa vafaa kare.nge nibhaaye.nge baat maane.nge tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa rahaa na dil me.n vo be-dard aur dard rahaa muqiim kaun huaa hai maqaam kis kaa thaa na puuchh-paachh thii kisii kii na aav-bhagat tumhaarii bazm me.n kal ehatamaam kis kaa thaa hamaare Khat ke to purze kiye pa.Dhaa bhii nahii.n sun jo tum ne baa-dil vo payaam kis kaa thaa i.nhii.n sifaat se hotaa hai aadamii mashahuur jo lutf aap hii karate to naam kis kaa thaa guzar gayaa vo zamaanaa kahe.n to kis se kahe.n Khayaal mere dil ko subah-o-shaam kis kaa thaa har ek se kahate hai.n kyaa "Daag" bevafaa nikalaa ye puuchhe in se ko_ii vo Gulaam kis kaa thaa |