mere qaabuu me.n na peharo.n dil-e-naashaad aayaa | | mere qaabuu me.n na peharo.n dil-e-naashaad aayaa vo meraa bhuulane vaalaa jo mujhe yaad aayaa dil-e-viiraa.N se raqiibo.n ne muraade.n paa_ii.n kaam kis kis ke meraa Khirman-e-barbaad aayaa liijiye suniye ab afasaanaa-e-furqat mujh se aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa dii mu'azzin ne azaa.N vasl kii shab pichhale pahar haaye kam_baKht ko kis vaqt Khudaa yaad aayaa bazm me.n un ke sabhii kuchh hai magar "Daag" nahii.n mujh ko vo Khaanaa-Kharaab aaj bahut yaad aayaa |