sabaq aisa parha diya tu-nay
dil say sab kuch bhula diya tu-nay
laakh dene ka aik dena hai
dil-ay bai mudda diya tu-nay
bay talab jo mila ,mila mujh ko
bay gharaz jo diya, diya tu-nay
kahin mushtaq say hijaab hua
kahin parda utha diya tu-nay
mit gaye dil say naqsh-ay batil sab
naqsha apna jama diya tu-nay
mujh gunah-gaar ko jo bakhsh diya
to jahannum ko kiya diya tu-nay
DAAGH ko kon dene wala tha
jo diya aye KHUDA ,diya tu-nay